jab se hai sabki tan pe basaarat tangi hui
bikne lagi hai sadkon pe ismat tangi hui
quwwat agar ho tujhmein to tu bhi utaar la
zillat ke aasmaan pe hai shohrat tangi hui
ghar aane par bhi chain-o-sukoon mil nahin raha
daftar mein bhool aaya main raahat tangi hui
tune utaar fenka qaba sa mujhe magar
dil mein hai teri aaj bhi soorat tangi hui
do dosti ke haathon ke milne ki aas mein
hai sarhadon pe aaj bhi nafrat tangi hui
do mulkon ki ladai mein akshar hi dekha hai
maine katteley taaron pe chaahat tangi hui
do jaa-e-amn mulkon ki chaahat ki zulm mein
ghaati mein laash banke hai jannat tangi hui
beti ke raat der se aane pe aaj bhi
rahti halaq mein baap ki izzat tangi hui
khud ko jo jaati dharm ka rakhwaala kahte hain
ghar unke sooli par hai muhabbat tangi hui
जब से है सबकी तन पे बसारत टँगी हुई
बिकने लगी है सड़कों पे इस्मत टँगी हुई
क़ुव्वत अगर हो तुझमें तो तू भी उतार ला
ज़िल्लत के आसमाँ पे है शोहरत टंँगी हुई
घर आने पर भी चैन-ओ-सुकूँ मिल नहीं रहा
दफ़्तर में भूल आया मैं राहत टँगी हुई
तूने उतार फेंका क़बा सा मुझे मगर
दिल में है तेरी आज भी सूरत टंँगी हुई
दो दोस्ती के हाथों के मिलने की आस में
है सरहदों पे आज भी नफ़रत टंँगी हुई
दो मुल्कों की लड़ाई में अक्सर ही देखा है
मैंने कटीले तारों पे चाहत टँगी हुई
दो जा-ए-अम्न मुल्कों की चाहत की ज़ुल्म में
घाटी में लाश बनके है जन्नत टंँगी हुई
बेटी के रात देर से आने पे आज भी
रहती हलक़ में बाप की इज़्ज़त टंँगी हुई
ख़ुद को जो जाति धर्म का रखवाला कहते हैं
घर उनके सूली पर है मुहब्बत टँगी हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SHIV SAFAR
our suggestion based on SHIV SAFAR
As you were reading Aasra Shayari Shayari