sab apne haath mein lekar gulaab baithe the | सब अपने हाथ में लेकर गुलाब बैठे थे

  - SHIV SAFAR

sab apne haath mein lekar gulaab baithe the
ham aise baagh mein padhne kitaab baithe the

naye sitaaron ko yoon dekh kar khayal aaya
kabhi yoon ham bhi liye mahtaab baithe the

ab aur kitni mulaqaat hogi in sab mein
ham apne man mein hi karke hisaab baithe the

koi to poochta hashr-e-junoon-e-ushshaqi
zabaan pe kab se hi lekar jawaab baithe the

koi pados ka ya ghar ka dekh le na unhen
sab apne baig mein lekar hijaab baithe the

wahi bachaayenge kal pyaar karne waalon ko
jo aaj bachne ko pahne naqaab baithe the

सब अपने हाथ में लेकर गुलाब बैठे थे
हम ऐसे बाग़ में पढ़ने किताब बैठे थे

नए सितारों को यूॅं देख कर ख़याल आया
कभी यूॅं हम भी लिए माहताब बैठे थे

अब और कितनी मुलाक़ात होगी इन सब में
हम अपने मन में ही करके हिसाब बैठे थे

कोई तो पूछता हश्र-ए-जुनून-ए-उश्शाक़ी
ज़बाँ पे कब से ही लेकर जवाब बैठे थे

कोई पड़ोस का या घर का देख ले न उन्हें
सब अपने बैग में लेकर हिजाब बैठे थे

वही बचाएँगे कल प्यार करने वालों को
जो आज बचने को पहने नक़ाब बैठे थे

  - SHIV SAFAR

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHIV SAFAR

As you were reading Shayari by SHIV SAFAR

Similar Writers

our suggestion based on SHIV SAFAR

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari