main khud apne hi haathon se qayamat kaise dhauunga | मैं ख़ुद अपने ही हाथों से क़यामत कैसे ढाऊँगा

  - SHIV SAFAR

main khud apne hi haathon se qayamat kaise dhauunga
sikhaaya jisne hai jeena use kaise jalaaunga

muhabbat panchiyon se mujhko bhi ho jaayegi yaaro
parindon ko jab apni maa samajh paani pilaaoonga

maa tere baad jaane ke teri jab yaad aayegi
to chat par baith taaron mein teri soorat milaaunga

meri khaatir jo saari umr bhar bunati rahi sweater
usi ke vaaste ik din kafan kaise main laaunga

pata hai reet hai lekin main mar jaaunga bhookha hi
tere jaane pe jab logon ko main khaana khilaaoonga

main jiski jaan hoon jo jaan banke mujhmein rahti hai
baha ke raakh uski khud ko ghar tak kaise laaunga

मैं ख़ुद अपने ही हाथों से क़यामत कैसे ढाऊँगा
सिखाया जिसने है जीना उसे कैसे जलाऊँगा

मुहब्बत पंछियों से मुझको भी हो जाएगी यारो
परिंदों को जब अपनी माँ समझ पानी पिलाऊँगा

माँ तेरे बाद जाने के तेरी जब याद आएगी
तो छत पर बैठ तारों में तेरी सूरत मिलाऊँगा

मिरी ख़ातिर जो सारी उम्र भर बुनती रही स्वेटर
उसी के वास्ते इक दिन कफ़न कैसे मैं लाऊँगा

पता है रीत है लेकिन मैं मर जाऊँगा भूखा ही
तेरे जाने पे जब लोगों को मैं खाना खिलाऊँगा

मैं जिसकी जान हूॅं जो जान बनके मुझमें रहती है
बहा के राख उसकी ख़ुद को घर तक कैसे लाऊँगा

  - SHIV SAFAR

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHIV SAFAR

As you were reading Shayari by SHIV SAFAR

Similar Writers

our suggestion based on SHIV SAFAR

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari