mere vo aib har ik din use bhi to sataate the | मेरे वो ऐब हर इक दिन उसे भी तो सताते थे

  - Umashankar Lekhwar

mere vo aib har ik din use bhi to sataate the
jise bhi poochta tha vo galat usko bataate the

mila jab bhi use firta raha har roz aawaara
mujhe mil hi na paaye raaste jo usko jaate the

use bhi yaad karta main nishaani ho agar koi
sambhaale hain abhi tak vo mujhe jo khwaab aate the

agar vo phir kabhi aaye khayaalon mein to poochhoonga
tere vo khwaab ab tak kis liye mujhko jagaate the

kisi ko kya khabar kaise bita lete hain apne din
bina unke ki jinpar vo har ik din haq jataate the

मेरे वो ऐब हर इक दिन उसे भी तो सताते थे
जिसे भी पूछता था, वो ग़लत उसको बताते थे

मिला जब भी उसे, फिरता रहा हर रोज़ आवारा
मुझे मिल ही न पाए रास्ते जो उसको जाते थे

उसे भी याद करता मैं, निशानी हो अगर कोई
सँभाले हैं अभी तक वो मुझे जो ख़्वाब आते थे

अगर वो फिर कभी आए ख़यालों में तो पूछूँगा
तेरे वो ख़्वाब अब तक किस लिए मुझको जगाते थे

किसी को क्या खबर कैसे बिता लेते हैं अपने दिन
बिना उनके कि जिनपर वो हर इक दिन हक़ जताते थे

  - Umashankar Lekhwar

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umashankar Lekhwar

As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar

Similar Writers

our suggestion based on Umashankar Lekhwar

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari