us mohabbat ka junoon aur lalak baaki hai | उस मोहब्बत का जुनूँ और ललक बाक़ी है

  - ALI ZUHRI

us mohabbat ka junoon aur lalak baaki hai
usko paane ki mere dil mein kasak baaki hai

mujh mein malboos hai uske hi badan ki khushboo
aur saanson mein bhi afsurda mahak baaki hai

mere hontho ka maza kaise bhala badlega
uski gardan ka jo teekhaa sa namak baaki hai

lafz ban ban ke ubhar aate hain sab uske nishaan
uske maasoom se chehre ki jhalak baaki hai

yaad karne pe use chain kahaan padta hai
toor jaisi mere seene mein dahak baaki hai

mujhko rah rah ke sataati hai udaasi meri
aur hichki mein judaai ki sisak baaki hai

उस मोहब्बत का जुनूँ और ललक बाक़ी है
उसको पाने की मेरे दिल में कसक बाक़ी है

मुझ में मल्बूस है उसके ही बदन की ख़ुश्बू
और साँसों में भी अफ़्सुर्दा महक बाक़ी है

मेरे होंठो का मज़ा कैसे भला बदलेगा
उसकी गर्दन का जो तीखा सा नमक बाक़ी है

लफ़्ज़ बन बन के उभर आते हैं सब उसके निशाँ
उसके मासूम से चेहरे की झलक बाक़ी है

याद करने पे उसे चैन कहाँ पड़ता है
तूर जैसी मेरे सीने में दहक बाक़ी है

मुझको रह रह के सताती है उदासी मेरी
और हिचकी में जुदाई की सिसक बाक़ी है

  - ALI ZUHRI

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ALI ZUHRI

As you were reading Shayari by ALI ZUHRI

Similar Writers

our suggestion based on ALI ZUHRI

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari