kar chuke hain theek ham apna bahut bartaav to | कर चुके हैं ठीक हम अपना बहुत बरताव तो

  - YAWAR ALI

kar chuke hain theek ham apna bahut bartaav to
aap bhi kuchh aacharan mein kijie badlaav to

kis tarah tum ko dikhaayein aatma ki peer ham
ye jo is tan par lage hain kuchh nahin hain ghaav to

man ki peeda ko chhupaana hai bahut zyaada kathin
hanste chehre par utar aate hain man ke bhaav to

bair aise kam nahin hoga hamaare beech ka
khaaiyaan chaudi karega sirf ye alagaav to

kheej kuntha dwesh jaise rog harne ke liye
prem ka kaafi hai man ke khet mein chhidkaav to

prem ke do bol koi bol dega jab hamein
dekhna bik jaayenge ham us ghadi be-bhaav to

कर चुके हैं ठीक हम अपना बहुत बरताव तो
आप भी कुछ आचरण में कीजिए बदलाव तो

किस तरह तुम को दिखाएँ आत्मा की पीर हम
ये जो इस तन पर लगे हैं कुछ नहीं हैं घाव तो

मन की पीड़ा को छुपाना है बहुत ज़्यादा कठिन
हँसते चेहरे पर उतर आते हैं मन के भाव तो

बैर ऐसे कम नहीं होगा हमारे बीच का
खाइयाँ चौड़ी करेगा सिर्फ़ ये अलगाव तो

खीज, कुंठा, द्वेष, जैसे रोग हरने के लिए
प्रेम का काफ़ी है मन के खेत में छिड़काव तो

प्रेम के दो बोल कोई बोल देगा जब हमें
देखना बिक जाएँगे हम उस घड़ी बे-भाव तो

  - YAWAR ALI

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by YAWAR ALI

As you were reading Shayari by YAWAR ALI

Similar Writers

our suggestion based on YAWAR ALI

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari