firta rehta hoon ghaafil | फिरता रहता हूँ ग़ाफ़िल

  - Zaan Farzaan

firta rehta hoon ghaafil
kya yun milti hai manzil

mar jaane ke hoon qabil
mar jaana kyun hai mushkil

apne dil ko rakho tum
main rakhta hoon apna dil

pehle tha vo yaktaa par
ab hai duniya mein shaamil

waqif kab hoga dariya
uski had hai khud saahil

kyun bas us kii khwaahish ho
doojoon ko jo hai haasil

sun mere ai chaara-gar
jeene par kar de maail

meri chashm-e-tar dekho
taaron kii hai ik jhilmil

mera saani hai koii
mujh bin jamti hai mehfil

toote dil ke tukḍon se
kaise kuchh hoga kaamil

jhoothon se kehta hoon sach
samjhen vo phir bhi baatil

ab vo shay hogi kis kii
jis shay ke hain sab qabil

kal ke khaatir zinda hoon
jo hai laakhon ka qaatil

gurbat mein bhi shukraana
dekho karta hai sail

yaad aata hai kab hi vo
yaad aaye guni

main dushman se bachta hoon
karte hain apne ghaail

kaif aankhon ka dekhoon main
ya dekhoon ariz par til

bad-bakhti ke raston par
hai maa kii minnat haa'il

jaan ab tum bhi zid chhodo
logo se jaao ghul-mil

फिरता रहता हूँ ग़ाफ़िल
क्या यूँ मिलती है मंज़िल

मर जाने के हूँ क़ाबिल
मर जाना क्यूँ है मुश्किल

अपने दिल को रक्खो तुम
मैं रखता हूँ अपना दिल

पहले था वो यकता पर
अब है दुनिया में शामिल

वाक़िफ़ कब होगा दरिया
उसकी हद है ख़ुद साहिल

क्यूँ बस उस की ख़्वाहिश हो
दूजों को जो है हासिल

सुन मेरे ऐ चारा-गर
जीने पर कर दे माइल

मेरी चश्म-ए-तर देखो
तारों की है इक झिलमिल

मेरा सानी है कोई
मुझ बिन जमती है महफ़िल

टूटे दिल के टुकड़ों से
कैसे कुछ होगा कामिल

झूठों से कहता हूँ सच
समझें वो फिर भी बातिल

अब वो शय होगी किस की
जिस शय के हैं सब क़ाबिल

कल के ख़ातिर ज़िंदा हूँ
जो है लाखों का क़ातिल

ग़ुर्बत में भी शुक्राना
देखो करता है साइल

याद आता है कब ही वो
याद आए पैमान-ए-दिल

मैं दुश्मन से बचता हूँ
करते हैं अपने घाइल

कैफ़ आँखों का देखूँ मैं
या देखूँ आरिज़ पर तिल

बद-बख़्ती के रस्तों पर
है माँ की मिन्नत हाइल

ज़ान अब तुम भी ज़िद छोड़ो
लोगो से जाओ घुल-मिल

  - Zaan Farzaan

More by Zaan Farzaan

As you were reading Shayari by Zaan Farzaan

Similar Writers

our suggestion based on Zaan Farzaan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari