jo kuchh bhi bach gaya tha karte hain | जो कुछ भी बच गया था करते हैं

  - Zaan Farzaan

jo kuchh bhi bach gaya tha karte hain
ab is baar us ko poora karte hain

laga dil bewafa se bewafa
kahoon jo sach to achha karte hain

hai paakar khone ka ab dar kise
magar paane ko kya kya karte hain

nahin vo dost bhi jo naam ko
sar-e-mahfil bachaaya karte hain

mahak kyun aa rahi hai bas teri
agar sab phool mahka karte hain

khiyanat karne se pehle magar
sabhi hi khoob vaada karte hain

bahut ham ro chuke hain be-sabab
chalo ab kaam apna karte hain

kabhi jin ko maseeha samjha tha
wahi ab zakhm taza karte hain

wahan vo sab sukoon mein honge jo
yahan din raat tadpa karte hain

na yun bhi zindagi se haath dho
ise to log maanga karte hain

ajab sa hai dil-o-jaan mein junoon
ye sab kuchh be-iraada karte hain

raheingi mushkilein to umr bhar
to kya yun in se bhaaga karte hain

hujoomon mein na rahne waale phir
hujoomon ko ikattha karte hain

unhen kuchh bolna aata nahin
jo be-matlab hi bola karte hain

nahin karna tha jis ik kaam ko
wahi ik kaam zyaada karte hain

hamein kya kuchh nahin aata magar
ghazal hi kyun sunaaya karte hain

जो कुछ भी बच गया था करते हैं
अब इस बार उस को पूरा करते हैं

लगा दिल बेवफ़ा से बेवफ़ा
कहूँ जो सच तो अच्छा करते हैं

है पाकर खोने का अब डर किसे
मगर पाने को क्या क्या करते हैं

नहीं वो दोस्त भी जो नाम को
सर-ए-महफ़िल बचाया करते हैं

महक क्यों आ रही है बस तेरी
अगर सब फूल महका करते हैं

ख़ियानत करने से पहले मगर
सभी ही ख़ूब वादा करते हैं

बहुत हम रो चुके हैं बे-सबब
चलो अब काम अपना करते हैं

कभी जिन को मसीहा समझा था
वही अब ज़ख़्म ताज़ा करते हैं

वहाँ वो सब सुकूँ में होंगे जो
यहाँ दिन रात तड़पा करते हैं

न यूँ भी ज़िंदगी से हाथ धो
इसे तो लोग माँगा करते हैं

अजब सा है दिल-ओ-जाँ में जुनूँ
ये सब कुछ बे-इरादा करते हैं

रहेंगी मुश्किलें तो उम्र भर
तो क्या यूँ इन से भागा करते हैं

हुजूमों में न रहने वाले फिर
हुजूमों को इकट्ठा करते हैं

उन्हें कुछ बोलना आता नहीं
जो बे-मतलब ही बोला करते हैं

नहीं करना था जिस इक काम को
वही इक काम ज़्यादा करते हैं

हमें क्या कुछ नहीं आता मगर
ग़ज़ल ही क्यूँ सुनाया करते हैं

  - Zaan Farzaan

More by Zaan Farzaan

As you were reading Shayari by Zaan Farzaan

Similar Writers

our suggestion based on Zaan Farzaan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari