rakh aqeeda log jo karte muhabbat aik taraf | रख अक़ीदा लोग जो करते मुहब्बत ऐक तरफ़ा

  - Zain Aalamgir

rakh aqeeda log jo karte muhabbat aik taraf
vo ajal tak ho nibhaate dik ibadat aik taraf

chaak-dil ham phir rahenge bas tabhi garkaab itne
jab samandar mein nahin ho sohbat aik taraf

mil na kandha aansu khaatir na janaaze ko dua de
hai nibhaai kis tarah usne rivaayat aik taraf

kar kyun paimaish-e-mohabbat rahi zyaada ki haajat
aib ki jo lag humeen par tohmat aik taraf

ham behaate rakt hain pyaase dikhe hamko kabhi bhi
the nibha aisi rahe jo ham rafaqat aik taraf

thi meri vaabastagi khaalis hamesha haay lekin
dillagi ki gair se li na ijaazat aik taraf

tum taghaaful umrbhar tadbeer na jiski kabhi thi
lag humeen par daag milti jaaye la'nat aik taraf

mehfilon mein jis sukhan-var ki rahi kya khoob ghazlen
bejubaan kar cheen waisi daal taqat aik taraf

dik agar ahvaal tum mazloom mujhsa jo kabhi bhi
tab tahayyur hai na gham ki aai qurbat aik taraf

pinjare mein qaid hai ik cheez jo arsa puraani
ye bharosa maangata tujhse zamaanat aik taraf

jal charaagh bujhe na raaton ko nigahbaani kiya hoon
dil mera sambhaal ke teri amaanat aik taraf

tum batao hai kidhar koocha jahaan vo raushni ho
teergi mein ham guzaare sakht furqat aik taraf

khaamoshi mein aa sama'at aik jo kahti rahi le
naam tera aur kar de phir himaqat aik taraf

ik shikaayat thi kabhi unwaan ghazlon mein nahin vo
lo siyaahi ko bikheri ki qayaamat aik taraf

kar wafa khanjar utaara jaaye seene mein mere to
zain tum bhi sar utha lo aisi zahmat aik taraf

रख अक़ीदा लोग जो करते मुहब्बत ऐक तरफ़ा
वो अजल तक हो निभाते दिख इबादत ऐक तरफ़ा

चाक-दिल हम फिर रहेंगे बस तभी ग़र्क़ाब इतने
जब समंदर में नहीं हो सोहबत ऐक तरफ़ा

मिल न कंधा आँसु ख़ातिर, ना जनाज़े को दुआ दे
है निभाई किस तरह उसने रिवायत ऐक तरफ़ा

कर क्युँ पैमाइश-ए-मोहब्बत, रही ज़्यादा कि हाजत
ऐब की जो लग हमीं पर तोहमत ऐक तरफ़ा

हम बहाते रक्त हैं प्यासे दिखे हमको कभी भी
थे निभा ऐसी रहे जो हम रफ़ाक़त ऐक तरफ़ा

थी मिरी वाबस्तगी ख़ालिस हमेशा, हाय लेकिन
दिल्लगी की गैर से, ली ना इजाज़त ऐक तरफ़ा

तुम तग़ाफ़ुल उम्रभर, तदबीर ना जिसकी कभी थी
लग हमीं पर दाग़, मिलती जाए ला'नत ऐक तरफ़ा

महफ़िलों में जिस सुख़न-वर की रही क्या ख़ूब ग़ज़लें
बेजुबाँ कर, छीन वैसी डाल ताक़त ऐक तरफ़ा

दिख अगर अहवाल तुम मज़लूम मुझसा जो कभी भी
तब तहय्युर है न ग़म की आइ क़ुर्बत ऐक तरफ़ा

पिंजरे में क़ैद है इक चीज़ जो अरसा पुरानी
ये भरोसा माँगता तुझसे ज़मानत ऐक तरफ़ा

जल चराग़, बुझे न, रातों को निगहबानी किया हूँ
दिल मिरा संभाल, के तेरी अमानत ऐक तरफ़ा

तुम बताओ है किधर कूचा जहाँ वो रौशनी हो
तीरगी में हम गुज़ारे सख़्त फुर्क़त ऐक तरफ़ा

ख़ामुशी में आ समा'अत ऐक, जो कहती रही ले
नाम तेरा और कर दे फिर हिमाक़त ऐक तरफ़ा

इक शिकायत थी, कभी उनवान ग़ज़लों में नहीं वो
लो सियाही को बिखेरी, की क़यामत ऐक तरफ़ा

कर वफ़ा, खंजर उतारा जाए सीने में मिरे, तो
'ज़ैन' तुम भी सर उठा लो ऐसि ज़हमत ऐक तरफ़ा

  - Zain Aalamgir

Corruption Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zain Aalamgir

As you were reading Shayari by Zain Aalamgir

Similar Writers

our suggestion based on Zain Aalamgir

Similar Moods

As you were reading Corruption Shayari Shayari