dost-dushman aajkal ayyaar hona chahiye
yaar aashiq bhi tira khuddaar hona chahiye
naukri mein ho tarqqi aur kya hi chahiye
zindagi ke kashton ka vyaapaar hona chahiye
jeb-katra ban ke baitha hai naseeba aajkal
muflisi mein koi hisse-daar hona chahiye
baant dete aaj kota naukri bhugtaan mein
sirf dastaavez mein laachaar hona chahiye
daakhila to ho raha bajrang-dal mein aaj bas
dayra hai dil ka vo beemaar hona chahiye
peeth-peeche dost jo bhi kaanafoosi karte hain
doston ko aise rishtedaar hona chahiye
दोस्त-दुश्मन आजकल 'अय्यार होना चाहिए,
यार 'आशिक़ भी तिरा, ख़ुद्दार होना चाहिए
नौकरी में हो तरक़्क़ी और क्या ही चाहिए,
ज़िंदगी के कष्टों का व्यापार होना चाहिए
जेब-कतरा बन के बैठा है नसीबा आजकल
मुफ़लिसी में कोई हिस्से-दार होना चाहिए
बाँट देते आज कोटा नौकरी, भुगतान में
सिर्फ़ दस्तावेज़ में लाचार होना चाहिए
दाखिला तो हो रहा बजरंग-दल में आज बस
दायरा है दिल का वो बीमार होना चाहिए
पीठ-पीछे दोस्त जो भी कानाफूसी करते हैं
दोस्तों को ऐसे रिश्तेदार होना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shubham Rai 'shubh'
our suggestion based on Shubham Rai 'shubh'
As you were reading Gareebi Shayari Shayari