har roz | हर रोज़

  - Aadil Raza Mansoori

har roz
badal jaata hai kuchh na kuchh
kamra
har hafta ashre mein
naye saleeqe se sajaaya jaata hai
samaan
waqt ke saath
badal jaati hain
kuchh cheezen bhi
magar
ek saath
sab kuchh
badlne ke liye
badalna hota hai
ghar

हर रोज़
बदल जाता है कुछ न कुछ
कमरा
हर हफ़्ते अशरे में
नए सलीक़े से सजाया जाता है
सामान
वक़्त के साथ
बदल जाती हैं
कुछ चीज़ें भी
मगर
एक साथ
सब कुछ
बदलने के लिए
बदलना होता है
घर

  - Aadil Raza Mansoori

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aadil Raza Mansoori

As you were reading Shayari by Aadil Raza Mansoori

Similar Writers

our suggestion based on Aadil Raza Mansoori

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari