agar safar mein mere saath mera yaar chale | अगर सफ़र में मिरे साथ मेरा यार चले

  - Aalok Shrivastav

agar safar mein mere saath mera yaar chale
tawaaf karta hua mausam-e-bahaar chale

laga ke waqt ko thokar jo khaaksaar chale
yaqeen ke qafile hamraah be-shumaar chale

nawaazna hai to phir is tarah nawaaz mujhe
ki mere ba'd mera zikr baar baar chale

ye jism kya hai koi pairhan udhaar ka hai
yahin sanbhaal ke pahna yahin utaar chale

ye jugnuon se bhara aasmaan jahaan tak hai
wahan talak tiri nazaron ka iqtidaar chale

yahi to ek tamannaa hai is musaafir ki
jo tum nahin to safar mein tumhaara pyaar chale

अगर सफ़र में मिरे साथ मेरा यार चले
तवाफ़ करता हुआ मौसम-ए-बहार चले

लगा के वक़्त को ठोकर जो ख़ाकसार चले
यक़ीं के क़ाफ़िले हमराह बे-शुमार चले

नवाज़ना है तो फिर इस तरह नवाज़ मुझे
कि मेरे बअ'द मिरा ज़िक्र बार बार चले

ये जिस्म क्या है कोई पैरहन उधार का है
यहीं सँभाल के पहना यहीं उतार चले

ये जुगनुओं से भरा आसमाँ जहाँ तक है
वहाँ तलक तिरी नज़रों का इक़्तिदार चले

यही तो एक तमन्ना है इस मुसाफ़िर की
जो तुम नहीं तो सफ़र में तुम्हारा प्यार चले

  - Aalok Shrivastav

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aalok Shrivastav

As you were reading Shayari by Aalok Shrivastav

Similar Writers

our suggestion based on Aalok Shrivastav

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari