milan ki saaat ko is tarah se amar kiya hai | मिलन की साअत को इस तरह से अमर किया है

  - Aanis Moin

milan ki saaat ko is tarah se amar kiya hai
tumhaari yaadon ke saath tanhaa safar kiya hai

suna hai us rut ko dekh kar tum bhi ro pade the
suna hai baarish ne pattharon par asar kiya hai

saleeb ka baar bhi uthao tamaam jeevan
ye lab-kushaai ka jurm tum ne agar kiya hai

tumhein khabar thi haqeeqaten talkh hain jabhi to
tumhaari aankhon ne khwaab ko motabar kiya hai

ghutan badhi hai to phir usi ko sadaaein di hain
ki jis hawa ne har ik shajar be-samar kiya hai

hai tere andar basi hui ek aur duniya
magar kabhi tu ne itna lamba safar kiya hai

mere hi dam se to raunqen tere shehar mein theen
mere hi qadmon ne dasht ko rah-guzar kiya hai

tujhe khabar kya mere labon ki khamoshiyon ne
tire fasaane ko kis qadar mukhtasar kiya hai

bahut si aankhon mein teergi ghar bana chuki hai
bahut si aankhon ne intizaar-e-sehr kiya hai

मिलन की साअत को इस तरह से अमर किया है
तुम्हारी यादों के साथ तन्हा सफ़र किया है

सुना है उस रुत को देख कर तुम भी रो पड़े थे
सुना है बारिश ने पत्थरों पर असर किया है

सलीब का बार भी उठाओ तमाम जीवन
ये लब-कुशाई का जुर्म तुम ने अगर किया है

तुम्हें ख़बर थी हक़ीक़तें तल्ख़ हैं जभी तो!
तुम्हारी आँखों ने ख़्वाब को मोतबर किया है

घुटन बढ़ी है तो फिर उसी को सदाएँ दी हैं
कि जिस हवा ने हर इक शजर बे-समर किया है

है तेरे अंदर बसी हुई एक और दुनिया
मगर कभी तू ने इतना लम्बा सफ़र किया है

मिरे ही दम से तो रौनक़ें तेरे शहर में थीं
मिरे ही क़दमों ने दश्त को रह-गुज़र किया है

तुझे ख़बर क्या मिरे लबों की ख़मोशियों ने
तिरे फ़साने को किस क़दर मुख़्तसर किया है

बहुत सी आँखों में तीरगी घर बना चुकी है
बहुत सी आँखों ने इंतिज़ार-ए-सहर किया है

  - Aanis Moin

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aanis Moin

As you were reading Shayari by Aanis Moin

Similar Writers

our suggestion based on Aanis Moin

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari