ai khuda | ऐ ख़ुदा

  - Aarif Akhtar Naqvi

ai khuda
tera laachaar banda
tishna-lab be-sahaara
be-yaqeeni ke sehra mein tanhaa khada hai
kitaabon se lahjon se lafzon se mera yaqeen uth chuka hai
har taraf shor hai khokhle alfaaz-o-izhaar ka
sirf prachaar ka
sab aqeede nazriye
mahaj ishtihaaraat hain
dhol peete chale ja rahe hain
is qadar shor hai ki sama'at bhi pathra gai hai
is qadar raushni ke basaarat bhi dhundla gai
ai khuda
raushni ke andhere mein ik noor de
noor aisa ki jis se munavvar ho dil
abr-e-rahmat yaqeen ka
be-yaqeeni ke sehra pe saaya-fagan ho

ऐ ख़ुदा
तेरा लाचार बंदा
तिश्ना-लब बे-सहारा
बे-यक़ीनी के सहरा में तन्हा खड़ा है
किताबों से लहजों से लफ़्ज़ों से मेरा यक़ीं उठ चुका है
हर तरफ़ शोर है खोखले अल्फ़ाज़-ओ-इज़हार का
सिर्फ़ प्रचार का
सब अक़ीदे नज़रिये
महज़ इश्तिहारात हैं
ढोल पीटे चले जा रहे हैं
इस क़दर शोर है कि समाअ'त भी पथरा गई है
इस क़दर रौशनी के बसारत भी धुँदला गई
ऐ ख़ुदा
रौशनी के अँधेरे में इक नूर दे
नूर ऐसा कि जिस से मुनव्वर हो दिल
अब्र-ए-रहमत यक़ीं का
बे-यक़ीनी के सहरा पे साया-फ़गन हो

  - Aarif Akhtar Naqvi

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aarif Akhtar Naqvi

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari