aaj unhon ne ailaan kar hi diya | आज उन्हों ने ऐलान कर ही दिया - Aashufta Changezi

aaj unhon ne ailaan kar hi diya
dekho
hum ne tumhaari sab ki sab quwwaton ka faisla kiya tha
qeel-o-qaal ki gunjaish baaki nahin hai
tumhaare iqraar-naame hamaare paas mahfooz hain
tum se pehle waalon ki khata yahi thi
ki unhen
apni naaf ke neeche sarsaraahat ka ehsaas
kuch ziyaada hi ho chala tha
unhen shahr-badar kar diya gaya
un ke pachhtaave aur gidgidahahten
aaj bhi hamaare kaanon mein mahfooz hain
tumhein itni chhoot di hi kyun jaaye
ki tum
kal hamaare mukaable par utar aao
hum tumhein hoshiyaar kiye dete hain
deewarein flangne waale
itaab se bach nahin sakte
aqd-naamon par tumhaare dastkhat
tumhaari na-muraadi ka khula e'tiraaf hain
is ke baghair
hamaari harm-sara mein
daakhil hone ke ijazat-naame
tumhein mil bhi kaise sakte the
is se pehle ki hamaare najeebut-tarafain shajre mashkook ho jaayen
aur hamaare hasb-nasb par aanch aa jaaye
hum
tum se pehle guloo-khalaasi ka raasta dhundh nikaalenge

आज उन्हों ने ऐलान कर ही दिया
देखो!
हम ने तुम्हारी सब की सब क़ुव्वतों का फ़ैसला किया था
क़ील-ओ-क़ाल की गुंजाइश बाक़ी नहीं है
तुम्हारे इक़रार-नामे हमारे पास महफ़ूज़ हैं
तुम से पहले वालों की ख़ता यही थी
कि उन्हें,
अपनी नाफ़ के नीचे सरसराहट का एहसास
कुछ ज़ियादा ही हो चला था
उन्हें शहर-बदर कर दिया गया
उन के पछतावे और गिड़गिड़ाहटें
आज भी हमारे कानों में महफ़ूज़ हैं
तुम्हें इतनी छूट दी ही क्यूँ जाए
कि तुम
कल हमारे मुक़ाबले पर उतर आओ
हम तुम्हें होशियार किए देते हैं
दीवारें फलांगने वाले
इताब से बच नहीं सकते
अक़्द-नामों पर तुम्हारे दस्तख़त
तुम्हारी ना-मुरादी का खुला ए'तिराफ़ हैं
इस के बग़ैर
हमारी हरम-सरा में
दाख़िल होने के इजाज़त-नामे
तुम्हें मिल भी कैसे सकते थे
इस से पहले कि हमारे नजीबुत-तरफ़ैन शजरे मश्कूक हो जाएँ
और हमारे हसब-नसब पर आँच आ जाए
हम!
तुम से पहले गुलू-ख़लासी का रास्ता ढूँड निकालेंगे!!

- Aashufta Changezi
0 Likes

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aashufta Changezi

As you were reading Shayari by Aashufta Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Aashufta Changezi

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari