diary ke ye saada varq
aur qalam cheen lo
aainon ki dukano mein sab
apne chehre liye
ik barhana tabassum ke mohtaaj hain
sard bazaar mein
ek bhi chaahne waala aisa nahin
jo unhen zindagi ka sabab bakhsh de
dhund se jagmagate hue shehar ki battiyaan
sajda karti hui kahkashaan
khoob-soorat khudaaon ki phirti hui toliyaan
aisa lagta hai sab
ek muddat se parchaaiyon ko pakadne mein masroof hain
डाइरी के ये सादा वरक़
और क़लम छीन लो
आईनों की दुकानों में सब
अपने चेहरे लिए
इक बरहना तबस्सुम के मोहताज हैं
सर्द बाज़ार में
एक भी चाहने वाला ऐसा नहीं
जो उन्हें ज़िंदगी का सबब बख़्श दे
धुँद से जगमगाते हुए शहर की बत्तियाँ
सज्दा करती हुई कहकशाँ
ख़ूब-सूरत ख़ुदाओं की फिरती हुई टोलियाँ
ऐसा लगता है सब
एक मुद्दत से परछाइयों को पकड़ने में मसरूफ़ हैं!!!
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aashufta Changezi
our suggestion based on Aashufta Changezi
As you were reading Gaon Shayari Shayari