aziyyat aur is sukoon | अज़िय्यत और इस सुकूँ - Aashufta Changezi

aziyyat aur is sukoon
dono ko hi dil khol ke main ne lutaaya hai
hazaaron baar aisa bhi hua hai
doston ki rahnumaai mein
fira hoon maara maara
shehar ki aabaad sadkon par
kabhi veeraan galiyon mein
kabhi seharaaon ki bhi khaak chaani hai

magar is baar jaane kya hua mujh ko
numaish ki dukano mein
saja kar khud ko ghar waapas chala aaya
abhi darwaaza main ne khatkhataaya tha
ki ghar waalon ne keena-tooz nazaron se mujhe dekha
jab un ki aankhon mein
koi ramq pehchaan ki main ne nahin paai
to ulte pairo'n waapas laut aaya hoon

aur ab ye sochta hoon
doston ki rahnumaai mein
unhin galiyon mein seharaaon mein ja kar
apne qadmon ke nishaan dhundhun

अज़िय्यत और इस सुकूँ
दोनों को ही दिल खोल के मैं ने लुटाया है
हज़ारों बार ऐसा भी हुआ है
दोस्तों की रहनुमाई में
फिरा हूँ मारा मारा
शहर की आबाद सड़कों पर
कभी वीरान गलियों में
कभी सहराओं की भी ख़ाक छानी है

मगर इस बार जाने क्या हुआ मुझ को
नुमाइश की दुकानों में
सजा कर ख़ुद को घर वापस चला आया
अभी दरवाज़ा मैं ने खटखटाया था
कि घर वालों ने कीना-तूज़ नज़रों से मुझे देखा
जब उन की आँखों में,
कोई रमक़ पहचान की मैं ने नहीं पाई
तो उल्टे पैरों वापस लौट आया हूँ

और अब ये सोचता हूँ
दोस्तों की रहनुमाई में
उन्हीं गलियों में सहराओं में जा कर
अपने क़दमों के निशाँ ढूँडूँ

- Aashufta Changezi
0 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aashufta Changezi

As you were reading Shayari by Aashufta Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Aashufta Changezi

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari