raah jab bhi taveel ho jaaye
har qadam ek meel ho jaaye
latke rahna saleeb par tay hai
zindagi jab wakeel ho jaaye
khushnuma khwaab aayega tay ho
din kabhi jab taveel ho jaaye
ek muddat se aas hai aatish
ishq usko bhi feel ho jaaye
hausla gar jawaan rahe aatish
umr phir to taveel ho jaaye
राह जब भी तवील हो जाए
हर क़दम एक मील हो जाए
लटके रहना सलीब पर तय है
ज़िन्दगी जब वकील हो जाए
ख़ुशनुमा ख़्वाब आयेगा तय हो
दिन कभी जब तवील हो जाए
एक मुद्दत से आस है ‘आतिश’
इश्क़ उसको भी फ़ील हो जाए
हौसला गर जवाँ रहे ‘आतिश’
उम्र फिर तो तवील हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading Raasta Shayari Shayari