yaar tum bad-naseeb kaise ho | यार तुम बद-नसीब कैसे हो

  - Aatish Indori

yaar tum bad-naseeb kaise ho
baap hai phir ghareeb kaise ho

aap atke shiya aur sunni mein
phir khuda ke qareeb kaise ho

khud ki thaali mein chhed kar daala
yaar itne ajeeb kaise ho

boodhe bargad ki chaanv mein ho tum
bete phir gham-naseeb kaise ho

tumse poori hui kahaani yah
dost ho tum raqeeb kaise ho

यार तुम बद-नसीब कैसे हो
बाप है फिर ग़रीब कैसे हो

आप अटके शिया और सुन्नी में
फिर ख़ुदा के क़रीब कैसे हो

ख़ुद की थाली में छेद कर डाला
यार इतने अजीब कैसे हो

बूढ़े बरगद की छाँव में हो तुम
बेटे फिर ग़म-नसीब कैसे हो

तुमसे पूरी हुई कहानी यह
दोस्त हो तुम रक़ीब कैसे हो

  - Aatish Indori

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aatish Indori

As you were reading Shayari by Aatish Indori

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Indori

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari