aakhirsh vo jiski khaatir sar gaya | आख़िरश वो जिसकी ख़ातिर सर गया

  - Ajeetendra Aazi Tamaam

aakhirsh vo jiski khaatir sar gaya
ishq tha so be-wafai kar gaya

aarzoo-e-ishq dil mein rah gai
justajoo-e-ishq se dil bhar gaya

dil ki duniya dard ka bazaar hai
dar-b-dar kahte hue muztar gaya

har dafa socha ki nazren fer luun
har dafa sajde mein tere sar gaya

bhoolne ki koshishein ki theen magar
jo mila vo zikr tera kar gaya

zindagi bhi aakhirsh tanhaai hai
main bhala tanhaai se kyun dar gaya

maine teri yaad mein hi kaat di
lautna tha par na apne ghar gaya

ab magar dil mein koi jumbish nahin
itni khaamoshi ki jaise mar gaya

आख़िरश वो जिसकी ख़ातिर सर गया
इश्क़ था सो बे-वफ़ाई कर गया

आरज़ू-ए-इश्क़ दिल में रह गई
जुस्तजू-ए-इश्क़ से दिल भर गया

दिल की दुनिया दर्द का बाज़ार है
दर-ब-दर कहते हुए मुज़्तर गया

हर दफ़ा सोचा की नजरें फेर लूँ
हर दफ़ा सजदे में तेरे सर गया

भूलने की कोशिशें की थीं मगर
जो मिला वो ज़िक्र तेरा कर गया

ज़िंदगी भी आख़िरश तन्हाई है
मैं भला तन्हाई से क्यों डर गया

मैंने तेरी याद में ही काट दी
लौटना था पर न अपने घर गया

अब मगर दिल में कोई जुम्बिश नहीं
इतनी ख़ामोशी की जैसे मर गया

  - Ajeetendra Aazi Tamaam

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajeetendra Aazi Tamaam

As you were reading Shayari by Ajeetendra Aazi Tamaam

Similar Writers

our suggestion based on Ajeetendra Aazi Tamaam

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari