lehar ka khwaab ho ke dekhte hain
chal tah-e-ab ho ke dekhte hain
us pe itna yaqeen hai ham ko
us ko betaab ho ke dekhte hain
raat ko raat ho ke jaana tha
khwaab ko khwaab ho ke dekhte hain
apni arzaaniyon ke sadqe ham
khud ko naayaab ho ke dekhte hain
sahilon ki nazar mein aana hai
phir to gharqaab ho ke dekhte hain
vo jo paayaab kah raha tha hamein
us ko sailaab ho ke dekhte hain
लहर का ख़्वाब हो के देखते हैं
चल तह-ए-अब हो के देखते हैं
उस पे इतना यक़ीन है हम को
उस को बेताब हो के देखते हैं
रात को रात हो के जाना था
ख़्वाब को ख़्वाब हो के देखते हैं
अपनी अरज़ानियों के सदक़े हम
ख़ुद को नायाब हो के देखते हैं
साहिलों की नज़र में आना है
फिर तो ग़र्क़ाब हो के देखते हैं
वो जो पायाब कह रहा था हमें
उस को सैलाब हो के देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhishek shukla
our suggestion based on Abhishek shukla
As you were reading Fantasy Shayari Shayari