ab meri usse mulaqaat nahin hoti hai | अब मिरी उससे मुलाक़ात नहीं होती है - Prashant Kumar

ab meri usse mulaqaat nahin hoti hai
phone aata hai magar baat nahin hoti hai

roz bistar to nikalta hai mera bheega hua
log kahte hain ki barsaat nahin hoti hai

neend aati hi nahin hai kisi bistar pe ab
vo na aaye to meri raat nahin hoti hai

yaad karti nahin hain ab meri aankhen usko
uski aankhon se bhi barsaat nahin hoti hai

khat mere roz nikalte hain usi naali mein
kaun kehta hai meri baat nahin hoti hai

अब मिरी उससे मुलाक़ात नहीं होती है
फोन आता है मगर बात नहीं होती है

रोज़ बिस्तर तो निकलता है मिरा भीगा हुआ
लोग कहते हैं कि बरसात नहीं होती है

नींद आती ही नहीं है किसी बिस्तर पे अब
वो न आए तो मिरी रात नहीं होती है

याद करती नहीं हैं अब मिरी आँखें उसको
उसकी आँखों से भी बरसात नहीं होती है

ख़त मिरे रोज़ निकलते हैं उसी नाली में
कौन कहता है मिरी बात नहीं होती है

- Prashant Kumar
1 Like

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari