umr-bhar saath bhala kaun nibha paata hai
chhodkar beech safar mein hi chala jaata hai
are ab band karunga main nikalna ghar se
jo bhi milta hai mere dil mein ghusa jaata hai
begunaahon pe faqeeron pe jo karta hai karam
teeno logon ke khudaaon kii dua paata hai
jisne is umr mein jee jaan se mehnat kar li
zindagi-bhar vo zamaane ka maza paata hai
dekh lo manzilen hoti hain usi ko haasil
jo bhi mehnat ke paseene mein naha jaata hai
jab kahin par bhi mera man nahin lagta hai to
mera mehboob madine mein ghuma laata hai
उम्र-भर साथ भला कौन निभा पाता है
छोड़कर बीच सफ़र में ही चला जाता है
अरे अब बंद करूँगा मैं निकलना घर से
जो भी मिलता है मिरे दिल में घुसा जाता है
बेगुनाहों पे फ़क़ीरों पे जो करता है करम
तीनों लोकों के ख़ुदाओं की दुआ पाता है
जिसने इस उम्र में जी जान से मेहनत कर ली
ज़िंदगी-भर वो ज़माने का मज़ा पाता है
देख लो मंज़िलें होती हैं उसी को हासिल
जो भी मेहनत के पसीने में नहा जाता है
जब कहीं पर भी मिरा मन नहीं लगता है तो
मेरा महबूब मदीने में घुमा लाता है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari