bahki bahki sii nigaahon se na dekho hamko
yun bichharti hui raahon se na dekho hamko
sard raaton mein kahin yaad na aa jaayen ham
ghar kii guzri hui raahon se na dekho hamko
kahin khatre mein na pad jaao mere hamdam tum
are ghairon kii panahon se na dekho hamko
khaamiyaan hi nazar aayengi samajh lo ham mein
tum hamaari hi nigaahon se na dekho hamko
ki kahin umr na lag jaaye tumhaari hamko
aise zaahreeli nigaahon se na dekho hamko
बहकी बहकी सी निगाहों से न देखो हमको
यूँ बिछड़ती हुई राहों से न देखो हमको
सर्द रातों में कहीं याद न आ जाएँ हम
घर की गुज़री हुई राहों से न देखो हमको
कहीं ख़तरे में न पड़ जाओ मिरे हमदम तुम
अरे ग़ैरों की पनाहों से न देखो हमको
ख़ामियाँ ही नज़र आएँगी समझ लो हम में
तुम हमारी ही निगाहों से न देखो हमको
कि कहीं उम्र न लग जाए तुम्हारी हमको
ऐसे ज़हरीली निगाहों से न देखो हमको
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari