is qadar log mohabbat mein saza dete hain
roz akhbaar tarah hamko bhula dete hain
man mein aata hai jabhi log hansa dete hain
man mein aata hai jabhi log rula dete hain
tum hunarmand ho jo aag bujha dete ho
ham to paagal hain samundar ko jala dete hain
ab to dar dar ke hi jeete hain zamaane mein ham
man mein aata hai to do-chaar suna dete hain
phone kar karke bulaate hain mujhe pehle vo
aur phir baad mein mehfil se ugalegi dete hain
इस क़दर लोग मोहब्बत में सज़ा देते हैं
रोज़ अख़बार तरह हमको भुला देते हैं
मन में आता है जभी लोग हँसा देते हैं
मन में आता है जभी लोग रुला देते हैं
तुम हुनरमंद हो जो आग बुझा देते हो
हम तो पागल हैं समुंदर को जला देते हैं
अब तो डर डर के ही जीते हैं ज़माने में हम
मन में आता है तो दो-चार सुना देते हैं
फोन कर करके बुलाते हैं मुझे पहले वो
और फिर बाद में महफ़िल से भगा देते हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari