zara si der ko chamka tha vo sitaara kahi | ज़रा सी देर को चमका था वो सितारा कहीं - Aftab Hussain

zara si der ko chamka tha vo sitaara kahi
thehar gaya hai nazar mein wahi nazaara kahi

kahi ko kheench rahi hai kashish zamaane ki
bula raha hai tiri aankh ka ishaara kahi

ye lehar bahar jo milti hai har taraf dil mein
badal gaya hi na ho zindagi ka dhaara kahi

ye soch kar bhi to us se nibaah ho na saka
kisi se ho bhi saka hai mera guzaara kahi

ravaan-davaan raho har-chand aaftaab-husain
dikhaai deta nahin door tak kinaara kahi

ज़रा सी देर को चमका था वो सितारा कहीं
ठहर गया है नज़र में वही नज़ारा कहीं

कहीं को खींच रही है कशिश ज़माने की
बुला रहा है तिरी आँख का इशारा कहीं

ये लहर बहर जो मिलती है हर तरफ़ दिल में
बदल गया ही न हो ज़िंदगी का धारा कहीं

ये सोच कर भी तो उस से निबाह हो न सका
किसी से हो भी सका है मिरा गुज़ारा कहीं

रवाँ-दवाँ रहो हर-चंद 'आफ़्ताब-हुसैन'
दिखाई देता नहीं दूर तक किनारा कहीं

- Aftab Hussain
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Hussain

As you were reading Shayari by Aftab Hussain

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Hussain

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari