aanchal mein nazar aati hain kuchh aur si aankhen | आँचल में नज़र आती हैं कुछ और सी आँखें

  - Afzaal Naveed

aanchal mein nazar aati hain kuchh aur si aankhen
chha jaati hain ehsaas pe billor si aankhen

rahti hai shab-o-roz mein baarish si tiri yaad
khwaabon mein utar jaati hain ghanghor si aankhen

paimaane se paimaane talak baada-e-laalein
aaghaaz se anjaam talak daur si aankhen

le kar kahaan rahti rahi moti si vo soorat
le kar kahaan firta raha mein gor si aankhen

waqt aane pe aayi na nazar gardish-e-aflaak
baitha raha le kar main kisi aur si aankhen

tabdeeli tire dekhte rahne se ye aayi
bin baitheen tasalsul se tire toor si aankhen

bil-farz nikal jaaun kisi andhe safar par
baandhe hue rakhti hain mujhe dor si aankhen

har baar kinaare se laga kar chali jaayen
dhundlaahaton mein ghamza-e-filfaur si aankhen

kya jaane naved aur hi kar jaayen ujaala
qirtaas-e-firozaan pe tiri kor si aankhen

आँचल में नज़र आती हैं कुछ और सी आँखें
छा जाती हैं एहसास पे बिल्लोर सी आँखें

रहती है शब-ओ-रोज़ में बारिश सी तिरी याद
ख़्वाबों में उतर जाती हैं घनघोर सी आँखें

पैमाने से पैमाने तलक बादा-ए-लालीं
आग़ाज़ से अंजाम तलक दौर सी आँखें

ले कर कहाँ रहती रही मोती सी वो सूरत
ले कर कहाँ फिरता रहा में गोर सी आँखें

वक़्त आने पे आई न नज़र गर्दिश-ए-अफ़्लाक
बैठा रहा ले कर मैं किसी और सी आँखें

तब्दीली तिरे देखते रहने से ये आई
बिन बैठीं तसलसुल से तिरे तूर सी आँखें

बिल-फ़र्ज़ निकल जाऊँ किसी अंधे सफ़र पर
बाँधे हुए रखती हैं मुझे डोर सी आँखें

हर बार किनारे से लगा कर चली जाएँ
धुंदलाहटों में ग़मज़ा-ए-फ़िलफ़ौर सी आँखें

क्या जाने 'नवेद' और ही कर जाएँ उजाला
क़िर्तास-ए-फ़रोज़ाँ पे तिरी कोर सी आँखें

  - Afzaal Naveed

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzaal Naveed

As you were reading Shayari by Afzaal Naveed

Similar Writers

our suggestion based on Afzaal Naveed

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari