khumaar-e-shab mein zameen ka chehra nikhar raha tha
koi sitaaron ki paalki mein utar raha tha
naha rahe the shajar kisi jheel ke kinaare
falak ke takhte pe chaand baitha sanwar raha tha
hawaaein deewar-o-dar ke peeche se jhaankti theen
dhuaan lapete koi gali se guzar raha tha
khada tha meri gali se baahar jahaan saara
main khwaab mein apne aap se baat kar raha tha
hawa ka jhonka udaas kar ke chala gaya hai
abhi abhi to main jaam-e-ghaflat ko bhar raha tha
aur ab thehar ja naved aage to kuchh nahin hai
tu umr bhar is khayal se be-khabar raha tha
ख़ुमार-ए-शब में ज़मीं का चेहरा निखर रहा था
कोई सितारों की पालकी में उतर रहा था
नहा रहे थे शजर किसी झील के किनारे
फ़लक के तख़्ते पे चाँद बैठा सँवर रहा था
हवाएँ दीवार-ओ-दर के पीछे से झाँकती थीं
धुआँ लपेटे कोई गली से गुज़र रहा था
खड़ा था मेरी गली से बाहर जहान सारा
मैं ख़्वाब में अपने आप से बात कर रहा था
हवा का झोंका उदास कर के चला गया है
अभी अभी तो मैं जाम-ए-ग़फ़्लत को भर रहा था
और अब ठहर जा 'नवेद' आगे तो कुछ नहीं है
तू उम्र भर इस ख़याल से बे-ख़बर रहा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzaal Naveed
our suggestion based on Afzaal Naveed
As you were reading Khafa Shayari Shayari