dikhaai de ki shu'a-e-baseer kheenchta hoon
ghubaar kheench jigar ka lakeer kheenchta hoon
dikhaai deta hoon tanhaa safeene mein lekin
kinaare lagte hi jamm-e-ghaafir kheenchta hoon
mere jilau se koi kahkashaan nahin bachti
main kheenchne pe jo aaun akheer kheenchta hoon
umad padi hai jo yaksar khizaan ke dhaare se
gulaabi-e-nigah-e-na-guzeer kheenchta hoon
fishaar padta hai gahra koi rag-o-pai mein
kali kali se suboo-e-abir kheenchta hoon
ki jaise khud se mulaqaat ho nahin paati
jahaan se utha hua hai khameer kheenchta hoon
hazaaron aaine har lahza khaali hote hain
palat palat ke wahi aks-e-peer kheenchta hoon
mufaahmat se jo had paar ho to ho jaaye
bandha hua rag-e-jaan se zameer kheenchta hoon
jin aasmaanon mein sayyaal-e-waqt saakit hai
kamand daal wahan joo-e-sheer kheenchta hoon
magar hawa-o-hawas par hi kharch ho jaaye
har ek jhonke se baad-e-kaseer kheenchta hoon
iraade bhaanp tire ja dhadakta hai dar par
pada hua pas-e-zindaan aseer kheenchta hoon
baghair bhed na an-honi se bacha jaaye
palat ke aata hai akshar jo teer kheenchta hoon
tilism-e-zulf hifazat ka pinjra ho jaise
maze jahaan ke ho kar aseer kheenchta hoon
ye dekh kaar-e-jahaan ne na dhajjiyaan chhodeen
tiri gali ki taraf ab shareer kheenchta hoon
naved kar to diya sheher-e-aaina paamaal
ab androoni saf-e-daar-o-geer kheenchta hoon
दिखाई दे कि शुआ-ए-बसीर खींचता हूँ
ग़ुबार खींच जिगर का लकीर खींचता हूँ
दिखाई देता हूँ तन्हा सफ़ीने में लेकिन
किनारे लगते ही जम्म-ए-ग़फ़ीर खींचता हूँ
मिरे जिलौ से कोई कहकशाँ नहीं बचती
मैं खींचने पे जो आऊँ अख़ीर खींचता हूँ
उमड पड़ी है जो यकसर ख़िज़ाँ के धारे से
गुलाबी-ए-निगह-ए-ना-गुज़ीर खींचता हूँ
फ़िशार पड़ता है गहरा कोई रग-ओ-पै में
कली कली से सुबू-ए-अबीर खींचता हूँ
कि जैसे ख़ुद से मुलाक़ात हो नहीं पाती
जहाँ से उट्ठा हुआ है ख़मीर खींचता हूँ
हज़ारों आइने हर लहज़ा ख़ाली होते हैं
पलट पलट के वही अक्स-ए-पीर खींचता हूँ
मुफ़ाहमत से जो हद पार हो तो हो जाए
बँधा हुआ रग-ए-जाँ से ज़मीर खींचता हूँ
जिन आसमानों में सय्याल-ए-वक़्त साकित है
कमंद डाल वहाँ जू-ए-शीर खींचता हूँ
मगर हवा-ओ-हवस पर ही ख़र्च हो जाए
हर एक झोंके से बाद-ए-कसीर खींचता हूँ
इरादे भाँप तिरे जा धड़कता है दर पर
पड़ा हुआ पस-ए-ज़िंदाँ असीर खींचता हूँ
बग़ैर भेद न अन-होनी से बचा जाए
पलट के आता है अक्सर जो तीर खींचता हूँ
तिलिस्म-ए-ज़ुल्फ़ हिफ़ाज़त का पिंजरा हो जैसे
मज़े जहान के हो कर असीर खींचता हूँ
ये देख कार-ए-जहाँ ने न धज्जियाँ छोड़ीं
तिरी गली की तरफ़ अब शरीर खींचता हूँ
'नवेद' कर तो दिया शहर-ए-आइना पामाल
अब अंदरूनी सफ़-ए-दार-ओ-गीर खींचता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzaal Naveed
our suggestion based on Afzaal Naveed
As you were reading Basant Shayari Shayari