jang se jungle bana jungle se main nikla nahin
ho gaya ojhal magar ojhal se main nikla nahin
daawat-e-ufaat rakhi chhal se main nikla nahin
nikle bhi kas-bal magar kas-bal se main nikla nahin
dekhte rahna tira mashhoor chat par kar gaya
is qadar baarish hui jal-thal se main nikla nahin
jaise tu hi to ho meri neend se lipta hua
jaise tere khwaab ke makhmal se main nikla nahin
dekhne waalon ko shehr-e-khwaab sa dikhta hoon main
jaise tere surmai baadal se main nikla nahin
dekh suraj aa gaya sar par mujhe awaaz de
phool sa ab tak tiri konpal se main nikla nahin
shab jo aiman raag mein doobi sehar thi bhairavi
tevari chadhti rahi komal se main nikla nahin
tera pallu ek jhatke se gaya go haath se
aanch lipti hai ki jun aanchal se main nikla nahin
apne markaz ki mahak chaaron taraf bikhraai hai
farfarahaa kar bhi tire sandal se main nikla nahin
taba ki pecheedagi shaayad meri pehchaan ho
yun na ho ho mustaqil jis bal se main nikla nahin
naam likkha tha mera main ne to apnaana hi tha
ek lamhe ke liye bhi pul se main nikla nahin
yun laga jaise kabhi main dehr ka hissa na tha
baat itni hai ki baahar kal se main nikla nahin
hausale jaise dubo dale hain is pardes ne
reech nikla naddi se kambal se main nikla nahin
main ne koi aatma an-chaahi aane hi na di
kaise kah doon apni hi daldal se main nikla nahin
is ke hote ek shab raushan hua jal par naved
chal diya vo to kabhi ka jal se main nikla nahin
जंग से जंगल बना जंगल से मैं निकला नहीं
हो गया ओझल मगर ओझल से मैं निकला नहीं
दावत-ए-उफ़्ताद रक्खी छल से मैं निकला नहीं
निकले भी कस-बल मगर कस-बल से मैं निकला नहीं
देखते रहना तिरा मसहूर छत पर कर गया
इस क़दर बारिश हुई जल-थल से मैं निकला नहीं
जैसे तू ही तो हो मेरी नींद से लिपटा हुआ
जैसे तेरे ख़्वाब के मख़मल से मैं निकला नहीं
देखने वालों को शहर-ए-ख़्वाब सा दिखता हूँ मैं
जैसे तेरे सुरमई बादल से मैं निकला नहीं
देख सूरज आ गया सर पर मुझे आवाज़ दे
फूल सा अब तक तिरी कोंपल से मैं निकला नहीं
शब जो ऐमन राग में डूबी सहर थी भैरवी
तेवरी चढ़ती रही कोमल से मैं निकला नहीं
तेरा पल्लू एक झटके से गया गो हाथ से
आँच लिपटी है कि जूँ आँचल से मैं निकला नहीं
अपने मरकज़ की महक चारों तरफ़ बिखराई है
फड़फड़ा कर भी तिरे संदल से मैं निकला नहीं
तब्अ की पेचीदगी शायद मिरी पहचान हो
यूँ न हो हो मुस्तक़िल जिस बल से मैं निकला नहीं
नाम लिक्खा था मिरा मैं ने तो अपनाना ही था
एक लम्हे के लिए भी पुल से मैं निकला नहीं
यूँ लगा जैसे कभी मैं दहर का हिस्सा न था
बात इतनी है कि बाहर कल से मैं निकला नहीं
हौसले जैसे डुबो डाले हैं इस परदेस ने
रीछ निकला नद्दी से कम्बल से मैं निकला नहीं
मैं ने कोई आत्मा अन-चाही आने ही न दी
कैसे कह दूँ अपनी ही दलदल से मैं निकला नहीं
इस के होते एक शब रौशन हुआ जल पर 'नवेद'
चल दिया वो तो कभी का जल से मैं निकला नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzaal Naveed
our suggestion based on Afzaal Naveed
As you were reading Raksha bandhan Shayari Shayari