hai usi shehar ki galiyon mein qayaam apna bhi | है उसी शहर की गलियों में क़याम अपना भी

  - Afzaal Naveed

hai usi shehar ki galiyon mein qayaam apna bhi
ek takhti pe likha rehta hai naam apna bhi

bheegti rahti hai dahleez kisi baarish mein
dekhte dekhte bhar jaata hai jaam apna bhi

ek to shaam ki be-mehr hawa chalti hai
ek rehta hai tire koo mein khiraam apna bhi

koi aahat tire kooche mein mahak uthati hai
jaag uthata hai tamasha kisi shaam apna bhi

ek baadal hi nahin baar-e-garaan se naalaan
sargiraan rehta hai ik zor kalaam apna bhi

koi rasta mere veeraane mein aa jaata hai
usi raaste se nikalta hai davaam apna bhi

ek dil hai ki jise yaad hain baatein apni
ek may hai ki jise raas hai jaam apna bhi

yoonhi logon ke pas-o-pesh mein chalte chalte
gard udti hai bikhar jaata hai naam apna bhi

mubtala kaar-e-shab-o-roz mein hai shehar naved
aur isee shehar mein gum hai koi kaam apna bhi

है उसी शहर की गलियों में क़याम अपना भी
एक तख़्ती पे लिखा रहता है नाम अपना भी

भीगती रहती है दहलीज़ किसी बारिश में
देखते देखते भर जाता है जाम अपना भी

एक तो शाम की बे-मेहर हवा चलती है
एक रहता है तिरे कू में ख़िराम अपना भी

कोई आहट तिरे कूचे में महक उठती है
जाग उठता है तमाशा किसी शाम अपना भी

एक बादल ही नहीं बार-ए-गराँ से नालाँ
सरगिराँ रहता है इक ज़ोर कलाम अपना भी

कोई रस्ता मिरे वीराने में आ जाता है
उसी रस्ते से निकलता है दवाम अपना भी

एक दिल है कि जिसे याद हैं बातें अपनी
एक मय है कि जिसे रास है जाम अपना भी

यूँही लोगों के पस-ओ-पेश में चलते चलते
गर्द उड़ती है बिखर जाता है नाम अपना भी

मुब्तला कार-ए-शब-ओ-रोज़ में है शहर 'नवेद'
और इसी शहर में गुम है कोई काम अपना भी

  - Afzaal Naveed

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzaal Naveed

As you were reading Shayari by Afzaal Naveed

Similar Writers

our suggestion based on Afzaal Naveed

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari