dasht tareek tha aur khwaab tha kaala mera | दश्त तारीक था और ख़्वाब था काला मेरा - Afzaal Naveed

dasht tareek tha aur khwaab tha kaala mera
raushni deta raha kaan ka baala mera

kaatna tha mujhe koh-e-shab-e-ghurbat lekin
toot kar girta raha raah mein bhaala mera

tujh ko ma'aloom na thi chaak-garebaani meri
tu ne is dasht mein kyun naam nikala mera

aatishi rakhti hai yaa garmi-e-raftaar mujhe
hoon mah-e-khaak-nasheen gard hai haala mera

la-makaan ne mujhe fenka hai makaan ki had mein
kis se padta hai yahan dekhiye paala mera

manzil-e-ishq na khaak-e-shab-e-hijraan mein mili
jaada-e-ranj mein khinchta raha naala mera

dast-e-shaffaaf pe likhta hai mera naam koi
shaakh-e-sarsabz pe khulta hai ujaala mera

mujh ko gar kaar-e-mohabbat mein zara der hui
aa gaya karne koi aur izaala mera

paar kar jaaye ye shaayad kisi din joo-e-khaak
jism ko chahiye kuch aur sambhaala mera

shehr-e-maujood dhuaan hai mere bujhne se naved
shehr-e-naabood mein rehta hai ujaala mera

दश्त तारीक था और ख़्वाब था काला मेरा
रौशनी देता रहा कान का बाला मेरा

काटना था मुझे कोह-ए-शब-ए-ग़ुर्बत लेकिन
टूट कर गिरता रहा राह में भाला मेरा

तुझ को मा'लूम न थी चाक-गरेबानी मिरी
तू ने इस दश्त में क्यों नाम निकाला मेरा

आतिशीं रखती है याँ गर्मी-ए-रफ़्तार मुझे
हूँ मह-ए-ख़ाक-नशीं गर्द है हाला मेरा

ला-मकाँ ने मुझे फेंका है मकाँ की हद में
किस से पड़ता है यहाँ देखिए पाला मेरा

मंज़िल-ए-इश्क़ न ख़ाक-ए-शब-ए-हिज्राँ में मिली
जादा-ए-रंज में खिंचता रहा नाला मेरा

दस्त-ए-शफ़्फ़ाफ़ पे लिखता है मिरा नाम कोई
शाख़-ए-सरसब्ज़ पे खुलता है उजाला मेरा

मुझ को गर कार-ए-मोहब्बत में ज़रा देर हुई
आ गया करने कोई और इज़ाला मेरा

पार कर जाए ये शायद किसी दिन जू-ए-ख़ाक
जिस्म को चाहिए कुछ और सँभाला मेरा

शहर-ए-मौजूद धुआँ है मिरे बुझने से 'नवेद'
शहर-ए-नाबूद में रहता है उजाला मेरा

- Afzaal Naveed
0 Likes

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzaal Naveed

As you were reading Shayari by Afzaal Naveed

Similar Writers

our suggestion based on Afzaal Naveed

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari