dhanak mein sar the tiri shaal ke churaaye hue | धनक में सर थे तिरी शाल के चुराए हुए

  - Afzaal Naveed

dhanak mein sar the tiri shaal ke churaaye hue
main surmai tha sar-e-shaam gungunaaye hue

samay ki lehar tire baazuon mein le aayi
hawa mein bahar tiri saans mein samaaye hue

tamaaniyat se uthaana muhaal tha mash'al
main dekhne laga tha us ko sar jhukaaye hue

sehar ki goonj se aawaaza-e-jamaal hua
so jaagta raha itaraaf ko jagaae hue

tha baagh baagh shu'a-e-safeed se shab bhar
gulaab-e-abayaz-e-rukh tha jhalak dikhaaye hue

khumaar-e-qurmuzi se aatishi tha saghar-e-khwaab
bhara tha munh tire jaamun se baada laaye hue

anaar phoote the neend ke samundar mein
vo dekhta tha mujhe fuljhadi lagaaye hue

dikha raha tha mere paaniyon se shehr-e-visaal
koi charaagh sa andar tha jhilmilaaye hue

hawa ke jhonkon mein ja kar use main pee aaya
raha vo der talak jaam-e-may banaaye hue

ye teri meri judaai ka naqsh hai baadal
baras raha hai b-yak-waqt waan bhi chhaaye hue

mutaabqat se raha taba ke alaav ko
kahi jalaae hue aur kahi bujaaye hue

hinaai haath se lag kar saji kuchh aur naved
meri angoothi tha arse se vo gumaae hue

धनक में सर थे तिरी शाल के चुराए हुए
मैं सुरमई था सर-ए-शाम गुनगुनाए हुए

समय की लहर तिरे बाज़ुओं में ले आई
हवा में बहर तिरी साँस में समाए हुए

तमानियत से उठाना मुहाल था मशअ'ल
मैं देखने लगा था उस को सर झुकाए हुए

सहर की गूँज से आवाज़ा-ए-जमाल हुआ
सो जागता रहा अतराफ़ को जगाए हुए

था बाग़ बाग़ शुआ'-ए-सफ़ेद से शब भर
गुलाब-ए-अबयज़-ए-रुख़ था झलक दिखाए हुए

ख़ुमार-ए-क़ुर्मुज़ी से आतिशीं था साग़र-ए-ख़्वाब
भरा था मुँह तिरे जामुन से बादा लाए हुए

अनार फूटते थे नींद के समुंदर में
वो देखता था मुझे फुलझड़ी लगाए हुए

दिखा रहा था मिरे पानियों से शहर-ए-विसाल
कोई चराग़ सा अंदर था झिलमिलाए हुए

हवा के झोंकों में जा कर उसे मैं पी आया
रहा वो देर तलक जाम-ए-मय बनाए हुए

ये तेरी मेरी जुदाई का नक़्श है बादल
बरस रहा है ब-यक-वक़्त वाँ भी छाए हुए

मुताबक़त से रहा तब्अ के अलाव को
कहीं जलाए हुए और कहीं बुझाए हुए

हिनाई हाथ से लग कर सजी कुछ और 'नवेद'
मिरी अँगूठी था अर्से से वो गुमाए हुए

  - Afzaal Naveed

Romantic Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzaal Naveed

As you were reading Shayari by Afzaal Naveed

Similar Writers

our suggestion based on Afzaal Naveed

Similar Moods

As you were reading Romantic Shayari Shayari