na rona rah gaya baaki na hansna rah gaya baaki | न रोना रह गया बाक़ी न हँसना रह गया बाक़ी

  - Afzaal Naveed

na rona rah gaya baaki na hansna rah gaya baaki
ik apne aap par aawaaze kasna rah gaya baaki

hamaari khud-faramoshi ye duniya jaan jaayegi
zara sa aur is daldal mein dhansna rah gaya baaki

havas ke naag ne din raat rakha apne changul mein
bahut khela hamaare tan se dassna rah gaya baaki

kisi ke pyaar ka qissa adhoora chhod aaye ham
uljhana khud se aur har dam tarsna rah gaya baaki

kisi ko rashk aaye kyun na qismat par hamaari ab
ujad aaye hain har jaanib se basna rah gaya baaki

kisi ki aankh ne khwaab-e-tahayyur taan rakha hai
naved us daam-e-yaktaai mein fansna rah gaya baaki

न रोना रह गया बाक़ी न हँसना रह गया बाक़ी
इक अपने आप पर आवाज़े कसना रह गया बाक़ी

हमारी ख़ुद-फ़रामोशी ये दुनिया जान जाएगी
ज़रा सा और इस दलदल में धंसना रह गया बाक़ी

हवस के नाग ने दिन रात रक्खा अपने चंगुल में
बहुत खेला हमारे तन से डसना रह गया बाक़ी

किसी के प्यार का क़िस्सा अधूरा छोड़ आए हम
उलझना ख़ुद से और हर दम तरसना रह गया बाक़ी

किसी को रश्क आए क्यूँ न क़िस्मत पर हमारी अब
उजड़ आए हैं हर जानिब से बसना रह गया बाक़ी

किसी की आँख ने ख़्वाब-ए-तहय्युर तान रक्खा है
'नवेद' उस दाम-ए-यकताई में फँसना रह गया बाक़ी

  - Afzaal Naveed

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzaal Naveed

As you were reading Shayari by Afzaal Naveed

Similar Writers

our suggestion based on Afzaal Naveed

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari