ham ne kuchh pankh jo daalaan mein rakh chhode hain
panchi aa jaayenge is dhyaan mein rakh chhode hain
sar-bulandi ho ki ai rahguzar-e-dil ham ne
saare jhagde hi tiri shaan mein rakh chhode hain
aisa aashob-e-tawaazun tha ki patthar saare
khench kar pallaa-e-meezaan mein rakh chhode hain
sochta hoon ki vo eimaan hi le aaye kabhi
rakhne kuchh aise bhi eimaan mein rakh chhode hain
rakh liye rauzan-e-zindaan pe parinde saare
jo na waan rakhne the deewaan mein rakh chhode hain
aise kuchh din bhi the jo ham se guzaare na gaye
waapsi ke kisi samaan mein rakh chhode hain
aaj ka din hai kisi baad-e-hina chalne ka din
aaj ke lamhe isee shaan mein rakh chhode hain
हम ने कुछ पँख जो दालान में रख छोड़े हैं
पंछी आ जाएँगे इस ध्यान में रख छोड़े हैं
सर-बुलंदी हो कि ऐ रहगुज़र-ए-दिल हम ने
सारे झगड़े ही तिरी शान में रख छोड़े हैं
ऐसा आशोब-ए-तवाज़ुन था कि पत्थर सारे
खेंच कर पल्ला-ए-मीज़ान में रख छोड़े हैं
सोचता हूँ कि वो ईमान ही ले आए कभी
रख़्ने कुछ ऐसे भी ईमान में रख छोड़े हैं
रख लिए रौज़न-ए-ज़िंदाँ पे परिंदे सारे
जो न वाँ रखने थे दीवान में रख छोड़े हैं
ऐसे कुछ दिन भी थे जो हम से गुज़ारे न गए
वापसी के किसी सामान में रख छोड़े हैं
आज का दिन है किसी बाद-ए-हिना चलने का दिन
आज के लम्हे इसी शान में रख छोड़े हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzaal Naveed
our suggestion based on Afzaal Naveed
As you were reading Hunar Shayari Shayari