apne hi tale aayi zameenon se nikal kar | अपने ही तले आई ज़मीनों से निकल कर

  - Afzaal Naveed

apne hi tale aayi zameenon se nikal kar
aa jaata hoon shaakhon pe dafeenon se nikal kar

darwaaze the kuchh aur bhi darwaaze ke peeche
barson pe gai baat maheenon se nikal kar

so jaati hai basti to makaan pichhli gali mein
tanhaa khada rehta hai makeenon se nikal kar

kis subh-e-tamaasha ka bachaaya hua sajda
rukh par chala aata hai jabeenon se nikal kar

aisi koi aasaan hai deewaangi yaaro
aayi bhi to aayegi qareenon se nikal kar

vo aur koi abr hai jo khulta nahin hai
sar par jo khada rehta hai seenon se nikal kar

muddat se mere raaste mein aaya hua hai
patthar sa koi tere nageenon se nikal kar

ik roz jo deewaar thi vo ham ne gira di
paani mein chale aaye safeenon se nikal kar

ye dekh mera nakhl-e-qutub-ha-e-darshan
jo phail gaya khoon paseenon se nikal kar

aa jaate hain saahil pe dikhaane hamein munh log
taarikee mein doobe hue zeeno se nikal kar

ik den hai ham jaison ki aashuftaa-sari ko
tham rehta hai aafaq pe deenon se nikal kar

zereen kahi rahti hai tapasya se bhari lehar
budh aur hai andoh-nasheenon se nikal kar

mismar ajaib jo hua jang-o-jadal se
mitti ke zaruf aa gaye meenon se nikal kar

hamraah asaason ki kahaan dhundh sakenge
aaya na agar saanp khazeenon se nikal kar

ataraaf-e-dar-o-baam hi le baithege mujh ko
gar qasd-e-chahaarum na ho teeno se nikal kar

phir saamna hoga mera apni hi masheen se
aaya bhi jo bil-farz masheenon se nikal kar

duniya ko piroega naved ek ladi mein
aayega koi khaak-nasheenon se nikal kar

अपने ही तले आई ज़मीनों से निकल कर
आ जाता हूँ शाख़ों पे दफ़ीनों से निकल कर

दरवाज़े थे कुछ और भी दरवाज़े के पीछे
बरसों पे गई बात महीनों से निकल कर

सो जाती है बस्ती तो मकाँ पिछली गली में
तन्हा खड़ा रहता है मकीनों से निकल कर

किस सुब्ह-ए-तमाशा का बचाया हुआ सज्दा
रुख़ पर चला आता है जबीनों से निकल कर

ऐसी कोई आसान है दीवानगी यारो
आई भी तो आएगी क़रीनों से निकल कर

वो और कोई अब्र है जो खुलता नहीं है
सर पर जो खड़ा रहता है सीनों से निकल कर

मुद्दत से मिरे रास्ते में आया हुआ है
पत्थर सा कोई तेरे नगीनों से निकल कर

इक रोज़ जो दीवार थी वो हम ने गिरा दी
पानी में चले आए सफ़ीनों से निकल कर

ये देख मिरा नख़्ल-ए-कुतुब-हा-ए-दरख़्शाँ
जो फैल गया ख़ून पसीनों से निकल कर

आ जाते हैं साहिल पे दिखाने हमें मुँह लोग
तारीकी में डूबे हुए ज़ीनों से निकल कर

इक देन है हम जैसों की आशुफ़्ता-सरी को
थम रहता है आफ़ाक़ पे दीनों से निकल कर

ज़ेरीं कहीं रहती है तपस्या से भरी लहर
बुध और है अंदोह-नशीनों से निकल कर

मिस्मार अजाइब जो हुआ जंग-ओ-जदल से
मिट्टी के ज़रूफ़ आ गए मीनों से निकल कर

हमराह असासों की कहाँ ढूँड सकेंगे
आया न अगर साँप ख़ज़ीनों से निकल कर

अतराफ़-ए-दर-ओ-बाम ही ले बैठेंगे मुझ को
गर क़स्द-ए-चहारुम न हो तीनों से निकल कर

फिर सामना होगा मिरा अपनी ही मशीं से
आया भी जो बिल-फ़र्ज़ मशीनों से निकल कर

दुनिया को पिरोएगा 'नवेद' एक लड़ी में
आएगा कोई ख़ाक-नशीनों से निकल कर

  - Afzaal Naveed

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzaal Naveed

As you were reading Shayari by Afzaal Naveed

Similar Writers

our suggestion based on Afzaal Naveed

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari