sayyaargaan ki shab mein zameen sa diya to hai | सय्यारगाँ की शब में ज़मीं सा दिया तो है

  - Afzaal Naveed

sayyaargaan ki shab mein zameen sa diya to hai
ye khaak ajnabi sahi rahne ki ja to hai

aawaargi ka bojh tha is khaak par bahut
lekin hazaar shukr ki ham se utha to hai

ye arsa-e-hayaat agarche hai kam magar
paanv kisi maqaam par aa kar ruka to hai

ma'aloom hai mujhe ki tamasha to kuchh nahin
lekin hujoom mein kahi tu bhi khada to hai

galiyon ka shor-o-ghul hai mere saath aaj bhi
vo din guzar gaye magar aawaaz-e-paa to hai

vo raahguzaar mehkati hai khush hoon ye jaan kar
gar main nahin to kya hai koi doosra to hai

ye bhi maal-e-khwaahish-e-dil hai ki aaj vo
baadal ko dekh kar sahi chat par chadha to hai

aa jaayega naved vo ik roz raah par
achha hai apni raah se bhatka hua to hai

सय्यारगाँ की शब में ज़मीं सा दिया तो है
ये ख़ाक अजनबी सही रहने की जा तो है

आवारगी का बोझ था इस ख़ाक पर बहुत
लेकिन हज़ार शुक्र कि हम से उठा तो है

ये अरसा-ए-हयात अगरचे है कम मगर
पाँव किसी मक़ाम पर आ कर रुका तो है

मा'लूम है मुझे कि तमाशा तो कुछ नहीं
लेकिन हुजूम में कहीं तू भी खड़ा तो है

गलियों का शोर-ओ-ग़ुल है मिरे साथ आज भी
वो दिन गुज़र गए मगर आवाज़-ए-पा तो है

वो रहगुज़र महकती है ख़ुश हूँ ये जान कर
गर मैं नहीं तो क्या है कोई दूसरा तो है

ये भी मआल-ए-ख़्वाहिश-ए-दिल है कि आज वो
बादल को देख कर सही छत पर चढ़ा तो है

आ जाएगा 'नवेद' वो इक रोज़ राह पर
अच्छा है अपनी राह से भटका हुआ तो है

  - Afzaal Naveed

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzaal Naveed

As you were reading Shayari by Afzaal Naveed

Similar Writers

our suggestion based on Afzaal Naveed

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari