guzre ta'alluqaat ka ab vaasta na de | गुज़रे तअ'ल्लुक़ात का अब वास्ता न दे

  - Afzal Alvi

guzre ta'alluqaat ka ab vaasta na de
gum ho chuki kitaab jo us ka pata na de

ab tazkire na chhed mere ahad-e-shauq ke
jo bujh gai hai aag use phir hawa na de

kuchh is qadar fareb sahaaron se khaaye hain
main gir padunga khauf se tu aasraa na de

jis ki jabeen-e-shauq pe likkha tha mera naam
ab door ja basa hai tu shaayad bhula na de

shola jo maujzan hai mohabbat ka dil mein aaj
dar hai ki sarsar-e-gham-e-dauraan bujha na de

go chal pada hoon dil se magar chahta hoon ye
uth kar mujhe vo rok le aur raasta na de

khaali na koi daulat-e-ikhlaas se rahe
alvee kisi ko bhool ke ye bad-dua na de

गुज़रे तअ'ल्लुक़ात का अब वास्ता न दे
गुम हो चुकी किताब जो उस का पता न दे

अब तज़्किरे न छेड़ मिरे अहद-ए-शौक़ के
जो बुझ गई है आग उसे फिर हवा न दे

कुछ इस क़दर फ़रेब सहारों से खाए हैं
मैं गिर पड़ूँगा ख़ौफ़ से तू आसरा न दे

जिस की जबीन-ए-शौक़ पे लिक्खा था मेरा नाम
अब दूर जा बसा है तू शायद भुला न दे

शो'ला जो मौजज़न है मोहब्बत का दिल में आज
डर है कि सरसर-ए-ग़म-ए-दौराँ बुझा न दे

गो चल पड़ा हूँ दिल से मगर चाहता हूँ ये
उठ कर मुझे वो रोक ले और रास्ता न दे

ख़ाली न कोई दौलत-ए-इख़्लास से रहे
'अल्वी' किसी को भूल के ये बद-दुआ' न दे

  - Afzal Alvi

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Alvi

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari