us lamhe tishna-lab ret bhi paani hoti hai | उस लम्हे तिश्ना-लब रेत भी पानी होती है

  - Afzal Khan

us lamhe tishna-lab ret bhi paani hoti hai
aandhi chale to sehra mein tughyaani hoti hai

nasr mein jo kuchh kah nahin saka sher mein kehta hoon
is mushkil mein bhi mujh ko aasaani hoti hai

jaane kya kya zulm parinde dekh ke aate hain
shaam dhale pedon par marsiya-khwani hoti hai

ishq tumhaara khel hai baaz aaya is khel se mein
mere saath hamesha be-imaani hoti hai

kyun apni taarikh se naalaan hain is shehar ke log
dhah dete hain jo ta'aamir puraani hoti hai

ye nukta ik qissa-go ne mujh ko samjhaaya
har kirdaar ke andar ek kahaani hoti hai

itni saari yaadon ke hote bhi jab dil mein
veeraani hoti hai to hairaani hoti hai

उस लम्हे तिश्ना-लब रेत भी पानी होती है
आँधी चले तो सहरा में तुग़्यानी होती है

नस्र में जो कुछ कह नहीं सकता शेर में कहता हूँ
इस मुश्किल में भी मुझ को आसानी होती है

जाने क्या क्या ज़ुल्म परिंदे देख के आते हैं
शाम ढले पेड़ों पर मर्सिया-ख़्वानी होती है

इश्क़ तुम्हारा खेल है बाज़ आया इस खेल से में
मेरे साथ हमेशा बे-ईमानी होती है

क्यूँ अपनी तारीख़ से नालाँ हैं इस शहर के लोग
ढह देते हैं जो ता'मीर पुरानी होती है

ये नुक्ता इक क़िस्सा-गो ने मुझ को समझाया
हर किरदार के अंदर एक कहानी होती है

इतनी सारी यादों के होते भी जब दिल में
वीरानी होती है तो हैरानी होती है

  - Afzal Khan

Inquilab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Khan

As you were reading Shayari by Afzal Khan

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Khan

Similar Moods

As you were reading Inquilab Shayari Shayari