chori kahi khule na naseem-e-bahaar ki
khush-boo uda ke laai hai gesoo-e-yaar ki
allah rakhe us ka salaamat ghuroor-e-husn
aankhon ko jis ne di hai saza intizaar ki
gulshan mein dekh kar mere mast-e-shabaab ko
sharmaai jaari hai jawaani bahaar ki
ai mere dil ke chain mere dil ki raushni
aa aur subh kar de shab-e-intizaar ki
jurat to dekhiyega naseem-e-bahaar ki
ye bhi balaaen lene lagi zulf-e-yaar ki
ai hashr dekhna to ye hai chaudahveen ka chaand
ya aasmaan ke haath mein tasveer yaar ki
चोरी कहीं खुले न नसीम-ए-बहार की
ख़ुश-बू उड़ा के लाई है गेसू-ए-यार की
अल्लाह रक्खे उस का सलामत ग़ुरूर-ए-हुस्न
आँखों को जिस ने दी है सज़ा इंतिज़ार की
गुलशन में देख कर मिरे मस्त-ए-शबाब को
शरमाई जारी है जवानी बहार की
ऐ मेरे दिल के चैन मिरे दिल की रौशनी
आ और सुब्ह कर दे शब-ए-इंतिज़ार की
जुरअत तो देखिएगा नसीम-ए-बहार की
ये भी बलाएँ लेने लगी ज़ुल्फ़-ए-यार की
ऐ 'हश्र' देखना तो ये है चौदहवीं का चाँद
या आसमाँ के हाथ में तस्वीर यार की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Agha Hashr Kashmiri
our suggestion based on Agha Hashr Kashmiri
As you were reading Religion Shayari Shayari