yaad mein teri jahaan ko bhoolta jaata hoon main
bhoolne waale kabhi tujh ko bhi yaad aata hoon main
ek dhundla sa tasavvur hai ki dil bhi tha yahan
ab to seene mein faqat ik tees si paata hoon main
o wafa-na-aashnaa kab tak sunoon tera gila
be-wafa kahte hain tujh ko aur sharmaata hoon main
aarzooon ka shabaab aur marg-e-hasrat haaye haaye
jab bahaar aaye gulistaan mein to murjhata hoon main
hashr meri sher-goi hai faqat fariyaad-e-shauq
apna gham dil ki zabaan mein dil ko samjhaata hoon main
याद में तेरी जहाँ को भूलता जाता हूँ मैं
भूलने वाले कभी तुझ को भी याद आता हूँ मैं
एक धुँदला सा तसव्वुर है कि दिल भी था यहाँ
अब तो सीने में फ़क़त इक टीस सी पाता हूँ मैं
ओ वफ़ा-ना-आश्ना कब तक सुनूँ तेरा गिला
बे-वफ़ा कहते हैं तुझ को और शरमाता हूँ मैं
आरज़ूओं का शबाब और मर्ग-ए-हसरत हाए हाए
जब बहार आए गुलिस्ताँ में तो मुरझाता हूँ मैं
'हश्र' मेरी शेर-गोई है फ़क़त फ़रियाद-ए-शौक़
अपना ग़म दिल की ज़बाँ में दिल को समझाता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Agha Hashr Kashmiri
our suggestion based on Agha Hashr Kashmiri
As you were reading Gulshan Shayari Shayari