honton pe tabassum ka labaada to nahin tha
ai dil sam-e-andoh ziyaada to nahin tha
ik ranj-e-tamanna se bahut surkh theen aankhen
sad shukr-e-khuda nashsha-e-baada to nahin tha
aaye the tire paas ghadi bhar ke liye ham
ta-umr thehrne ka iraada to nahin tha
aasaan to pehle bhi nahin thi ye rah-e-dil
mushkil bhi magar itna ye jaada to nahin tha
tahreer the khwaab aur tamannaa ke hawaale
itna warq-e-dil koi saada to nahin tha
होंटों पे तबस्सुम का लबादा तो नहीं था
ऐ दिल सम-ए-अंदोह ज़ियादा तो नहीं था
इक रंज-ए-तमन्ना से बहुत सुर्ख़ थीं आँखें
सद शुक्र-ए-ख़ुदा नश्शा-ए-बादा तो नहीं था
आए थे तिरे पास घड़ी भर के लिए हम
ता-उम्र ठहरने का इरादा तो नहीं था
आसान तो पहले भी नहीं थी ये रह-ए-दिल
मुश्किल भी मगर इतना ये जादा तो नहीं था
तहरीर थे ख़्वाब और तमन्ना के हवाले
इतना वरक़-ए-दिल कोई सादा तो नहीं था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Azeem
our suggestion based on Ahmad Azeem
As you were reading Dil Shayari Shayari