mausam to badalta hai badal jaaye to kya ho | मौसम तो बदलता है बदल जाए तो क्या हो - Ahmad Fakhir

mausam to badalta hai badal jaaye to kya ho
phoolon se jo khushboo bhi nikal jaaye to kya ho

jaata hoon kaddi dhoop mein parchhaaien ke hamraah
sehra mein ye parchhaaien bhi jal jaaye to kya ho

ye mashwara-e-zabt bhi tasleem hai lekin
aansu meri aankhon se nikal jaaye to kya ho

mahtaab sahaara hai shab-e-zeest ka faakhir
ye zard sa mahtaab bhi dhal jaaye to kya ho

मौसम तो बदलता है बदल जाए तो क्या हो
फूलों से जो ख़ुश्बू भी निकल जाए तो क्या हो

जाता हूँ कड़ी धूप में परछाईं के हमराह
सहरा में ये परछाईं भी जल जाए तो क्या हो

ये मश्वरा-ए-ज़ब्त भी तस्लीम है लेकिन
आँसू मिरी आँखों से निकल जाए तो क्या हो

महताब सहारा है शब-ए-ज़ीस्त का 'फ़ाख़िर'
ये ज़र्द सा महताब भी ढल जाए तो क्या हो

- Ahmad Fakhir
0 Likes

Dhoop Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fakhir

As you were reading Shayari by Ahmad Fakhir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fakhir

Similar Moods

As you were reading Dhoop Shayari Shayari