karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use | करूँ न याद मगर किस तरह भुलाऊँ उसे

  - Ahmad Faraz

karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use
ghazal bahaana karoon aur gungunaun use

vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind
main zakham zakham hoon phir bhi gale lagaaun use

ye log tazkire karte hain apne logon ke
main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use

magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai
ki rooth jaaye agar yaad kuchh dilaaun use

wahi jo daulat-e-dil hai wahi jo raahat-e-jaan
tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use

jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz
ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use

करूँ न याद मगर किस तरह भुलाऊँ उसे
ग़ज़ल बहाना करूँ और गुनगुनाऊँ उसे

वो ख़ार ख़ार है शाख़-ए-गुलाब की मानिंद
मैं ज़ख़्म ज़ख़्म हूँ फिर भी गले लगाऊँ उसे

ये लोग तज़्किरे करते हैं अपने लोगों के
मैं कैसे बात करूँ अब कहाँ से लाऊँ उसे

मगर वो ज़ूद-फ़रामोश ज़ूद-रंज भी है
कि रूठ जाए अगर याद कुछ दिलाऊँ उसे

वही जो दौलत-ए-दिल है वही जो राहत-ए-जाँ
तुम्हारी बात पे ऐ नासेहो गँवाऊँ उसे

जो हम-सफ़र सर-ए-मंज़िल बिछड़ रहा है 'फ़राज़'
अजब नहीं है अगर याद भी न आऊँ उसे

  - Ahmad Faraz

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari