kathin hai raahguzar thodi door saath chalo | कठिन है राहगुज़र थोड़ी दूर साथ चलो

  - Ahmad Faraz

kathin hai raahguzar thodi door saath chalo
bahut kada hai safar thodi door saath chalo

tamaam umr kahaan koi saath deta hai
ye jaanta hoon magar thodi door saath chalo

nashe mein choor hoon main bhi tumhein bhi hosh nahin
bada maza ho agar thodi door saath chalo

ye ek shab ki mulaqaat bhi ghaneemat hai
kise hai kal ki khabar thodi door saath chalo

abhi to jaag rahe hain charaagh raahon ke
abhi hai door sehar thodi door saath chalo

tawaaf-e-manzil-e-jaanaan hamein bhi karna hai
faraaz tum bhi agar thodi door saath chalo

कठिन है राहगुज़र थोड़ी दूर साथ चलो
बहुत कड़ा है सफ़र थोड़ी दूर साथ चलो

तमाम उम्र कहाँ कोई साथ देता है
ये जानता हूँ मगर थोड़ी दूर साथ चलो

नशे में चूर हूँ मैं भी तुम्हें भी होश नहीं
बड़ा मज़ा हो अगर थोड़ी दूर साथ चलो

ये एक शब की मुलाक़ात भी ग़नीमत है
किसे है कल की ख़बर थोड़ी दूर साथ चलो

अभी तो जाग रहे हैं चराग़ राहों के
अभी है दूर सहर थोड़ी दूर साथ चलो

तवाफ़-ए-मंज़िल-ए-जानाँ हमें भी करना है
'फ़राज़' तुम भी अगर थोड़ी दूर साथ चलो

  - Ahmad Faraz

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari