kaafir hoon sar-fira hoon mujhe maar deejie
main sochne laga hoon mujhe maar deejie
hai ehtiraam-e-hazrat-e-insaan mera deen
be-deen ho gaya hoon mujhe maar deejie
main poochne laga hoon sabab apne qatl ka
main had se badh gaya hoon mujhe maar deejie
karta hoon ahl-e-jubba-o-dastaar se sawaal
gustaakh ho gaya hoon mujhe maar deejie
khushboo se mera rabt hai jugnoo se mera kaam
kitna bhatk gaya hoon mujhe maar deejie
ma'aloom hai mujhe ki bada jurm hai ye kaam
main khwaab dekhta hoon mujhe maar deejie
zaahid ye zohd-o-taqwa-o-parhez ki ravish
main khoob jaanta hoon mujhe maar deejie
be-deen hoon magar hain zamaane mein jitne deen
main sab ko maanta hoon mujhe maar deejie
phir us ke ba'ad shehar mein naachega huu ka shor
main aakhiri sada hoon mujhe maar deejie
main theek sochta hoon koi had mere liye
main saaf dekhta hoon mujhe maar deejie
ye zulm hai ki zulm ko kehta hoon saaf zulm
kya zulm kar raha hoon mujhe maar deejie
zinda raha to karta rahoonga hamesha pyaar
main saaf kah raha hoon mujhe maar deejie
jo zakham baante hain unhen zeest pe hai haq
main phool baantaa hoon mujhe maar deejie
baarood ka nahin mera maslak darood hai
main khair maangata hoon mujhe maar deejie
काफ़िर हूँ सर-फिरा हूँ मुझे मार दीजिए
मैं सोचने लगा हूँ मुझे मार दीजिए
है एहतिराम-ए-हज़रत-ए-इंसान मेरा दीन
बे-दीन हो गया हूँ मुझे मार दीजिए
मैं पूछने लगा हूँ सबब अपने क़त्ल का
मैं हद से बढ़ गया हूँ मुझे मार दीजिए
करता हूँ अहल-ए-जुब्बा-ओ-दस्तार से सवाल
गुस्ताख़ हो गया हूँ मुझे मार दीजिए
ख़ुशबू से मेरा रब्त है जुगनू से मेरा काम
कितना भटक गया हूँ मुझे मार दीजिए
मा'लूम है मुझे कि बड़ा जुर्म है ये काम
मैं ख़्वाब देखता हूँ मुझे मार दीजिए
ज़ाहिद ये ज़ोहद-ओ-तक़्वा-ओ-परहेज़ की रविश
मैं ख़ूब जानता हूँ मुझे मार दीजिए
बे-दीन हूँ मगर हैं ज़माने में जितने दीन
मैं सब को मानता हूँ मुझे मार दीजिए
फिर उस के बा'द शहर में नाचेगा हू का शोर
मैं आख़िरी सदा हूँ मुझे मार दीजिए
मैं ठीक सोचता हूँ कोई हद मेरे लिए
मैं साफ़ देखता हूँ मुझे मार दीजिए
ये ज़ुल्म है कि ज़ुल्म को कहता हूँ साफ़ ज़ुल्म
क्या ज़ुल्म कर रहा हूँ मुझे मार दीजिए
ज़िंदा रहा तो करता रहूँगा हमेशा प्यार
मैं साफ़ कह रहा हूँ मुझे मार दीजिए
जो ज़ख़्म बाँटते हैं उन्हें ज़ीस्त पे है हक़
मैं फूल बाँटता हूँ मुझे मार दीजिए
बारूद का नहीं मिरा मस्लक दरूद है
मैं ख़ैर माँगता हूँ मुझे मार दीजिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Farhad
our suggestion based on Ahmad Farhad
As you were reading Raushni Shayari Shayari