qibla-e-aab-o-gil tumheen to ho | क़िबला-ए-आब-ओ-गिल तुम्हीं तो हो

  - Ahmad Husain Mail

qibla-e-aab-o-gil tumheen to ho
kaaba-e-jaan-o-dil tumheen to ho

la-makaan door dil bahut nazdeek
mufasil muttasil tumheen to ho

mere pahluu mein dil na kyun ho khush
dil ke pahluu mein dil tumheen to ho

tum se mil kar khajil humeen to hain
ham se chhut kar khajil tumheen to ho

dil ki sakhti ka hai gila tum se
jis ne rakhi ye sil tumheen to ho

jeete jee mujh ko maar daalo tum
maalik jaan-o-dil tumheen to ho

tum ko maail bahut hai sharm-e-gunaah
raat-din mufail tumheen to ho

क़िबला-ए-आब-ओ-गिल तुम्हीं तो हो
काबा-ए-जान-ओ-दिल तुम्हीं तो हो

ला-मकाँ दूर दिल बहुत नज़दीक
मुंफ़सिल मुत्तसिल तुम्हीं तो हो

मेरे पहलू में दिल न क्यूँ हो ख़ुश
दिल के पहलू में दिल तुम्हीं तो हो

तुम से मिल कर ख़जिल हमीं तो हैं
हम से छुट कर ख़जिल तुम्हीं तो हो

दिल की सख़्ती का है गिला तुम से
जिस ने रक्खी ये सिल तुम्हीं तो हो

जीते जी मुझ को मार डालो तुम
मालिक जान-ओ-दिल तुम्हीं तो हो

तुम को 'माइल' बहुत है शर्म-ए-गुनाह
रात-दिन मुन्फ़इल तुम्हीं तो हो

  - Ahmad Husain Mail

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Husain Mail

As you were reading Shayari by Ahmad Husain Mail

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Husain Mail

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari