dasht mein waadi-e-shaadaab ko choo kar aaya | दश्त में वादी-ए-शादाब को छू कर आया

  - Ahmad Khayal

dasht mein waadi-e-shaadaab ko choo kar aaya
main khuli-aankh haseen khwaab ko choo kar aaya

us ko choo kar mujhe mehsoos hua hai aise
jaise main resham-o-kim-khwaab ko choo kar aaya

mujh ko maaloom hai poron ke damakne ka javaaz
raat main khwaab mein mahtaab ko choo kar aaya

jism ke saath meri rooh bhi nam hone lagi
jab se us deeda-e-pur-aab ko choo kar aaya

rooh ki kaai isee taur se chhatna thi so main
subh-dam mimbar-o-mehraab ko choo kar aaya

murtaish kirnon ka raqs ek ghadi bhi na thame
chaand kis tarz ke taalaab ko choo kar aaya

दश्त में वादी-ए-शादाब को छू कर आया
मैं खुली-आँख हसीं ख़्वाब को छू कर आया

उस को छू कर मुझे महसूस हुआ है ऐसे
जैसे मैं रेशम-ओ-किम-ख़्वाब को छू कर आया

मुझ को मालूम है पोरों के दमकने का जवाज़
रात मैं ख़्वाब में महताब को छू कर आया

जिस्म के साथ मिरी रूह भी नम होने लगी
जब से उस दीदा-ए-पुर-आब को छू कर आया

रूह की काई इसी तौर से छटना थी सो मैं
सुब्ह-दम मिम्बर-ओ-मेहराब को छू कर आया

मुर्तइश किरनों का रक़्स एक घड़ी भी न थमे
चाँद किस तर्ज़ के तालाब को छू कर आया

  - Ahmad Khayal

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Khayal

As you were reading Shayari by Ahmad Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Khayal

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari