ghubaar abr ban gaya kamaal kar diya gaya | ग़ुबार अब्र बन गया कमाल कर दिया गया

  - Ahmad Khayal

ghubaar abr ban gaya kamaal kar diya gaya
hari bhari rutoon ko meri shaal kar diya gaya

qadam qadam pe qaasa le ke zindagi thi raah mein
so jo bhi apne paas tha nikaal kar diya gaya

main zakham zakham ho gaya lahu wafa ko ro gaya
ladai chhid gai to mujh ko dhaal kar diya gaya

gulaab-rut ki deviyaan nagar gulaab kar gaeein
main surkh-roo hua use bhi laal kar diya gaya

vo zahar hai fazaaon mein ki aadmi ki baat kya
hawa ka saans lena bhi muhaal kar diya gaya

ग़ुबार अब्र बन गया कमाल कर दिया गया
हरी भरी रुतों को मेरी शाल कर दिया गया

क़दम क़दम पे कासा ले के ज़िंदगी थी राह में
सो जो भी अपने पास था निकाल कर दिया गया

मैं ज़ख़्म ज़ख़्म हो गया लहू वफ़ा को रो गया
लड़ाई छिड़ गई तो मुझ को ढाल कर दिया गया

गुलाब-रुत की देवियाँ नगर गुलाब कर गईं
मैं सुर्ख़-रू हुआ उसे भी लाल कर दिया गया

वो ज़हर है फ़ज़ाओं में कि आदमी की बात क्या
हवा का साँस लेना भी मुहाल कर दिया गया

  - Ahmad Khayal

Fasad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Khayal

As you were reading Shayari by Ahmad Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Khayal

Similar Moods

As you were reading Fasad Shayari Shayari