main vehshat-o-junoon mein tamasha nahin bana
sehra mere vujood ka hissa nahin bana
is baar kooza-gar ki tavajjoh thi aur samt
warna hamaari khaak se kya kya nahin bana
soi hui ana mere aadhe rahi sada
koshish ke baawajood bhi qaasa nahin bana
ye bhi tiri shikast nahin hai to aur kya
jaisa tu chahta tha main waisa nahin bana
warna ham aise log kahaan theharte yahan
ham se falak ki samt ka zeena nahin bana
jitne kamaal-rang the saare liye gaye
phir bhi tire jamaal ka naqsha nahin bana
roka gaya hai waqt se pehle hi mera chaak
mujh ko ye lag raha hai main poora nahin bana
मैं वहशत-ओ-जुनूँ में तमाशा नहीं बना
सहरा मिरे वजूद का हिस्सा नहीं बना
इस बार कूज़ा-गर की तवज्जोह थी और सम्त
वर्ना हमारी ख़ाक से क्या क्या नहीं बना
सोई हुई अना मिरे आड़े रही सदा
कोशिश के बावजूद भी कासा नहीं बना
ये भी तिरी शिकस्त नहीं है तो और क्या
जैसा तू चाहता था मैं वैसा नहीं बना
वर्ना हम ऐसे लोग कहाँ ठहरते यहाँ
हम से फ़लक की सम्त का ज़ीना नहीं बना
जितने कमाल-रंग थे सारे लिए गए
फिर भी तिरे जमाल का नक़्शा नहीं बना
रोका गया है वक़्त से पहले ही मेरा चाक
मुझ को ये लग रहा है मैं पूरा नहीं बना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Khayal
our suggestion based on Ahmad Khayal
As you were reading Taareef Shayari Shayari